...

2 views

"MAA"ek esa sabd jispr sayad hi koi khuch likh sake
wese me is kabil to nhi ki maa sabd k upr khuch likh saku ,isiliye mene ye choti si kahani likhne paryas kiya h aasha krta hu ki padhne wale sabhi pathykarmi isse khush rhe !



sham ka samay ,tapri par baitha me nukkad wali ,suraj thnda hone laga tha,or raaste par kadam badhne lage the khuch kadam sair krne nikale h khuch aaye hue sabji-bhaji lene ,khuch nanhe kadam bat ball liye kinare par khel shuru karne lage, to khuch dafatr se thake hue kadam gujar rhe h, halki thandi hawa jo ruh ko shant krti ho , thndi hawa ka aanand lete hue tapri wale se bola !
me- ki bhaiya ek pyali adrak wali chai krdo ,
tapri wala bola- ji bhaiya ji abhi krte h ,
itne me bagal se awaj aayi ki ek nhi do chai krdo(ye chai k liye awaj lagane wale sakhs ka naam h dr.shaurabh shukla, kadme chote h harstpusth sarir h ,ye pese se lekhak h or hindi saahitiy se p.hd kari h ,mijaj inka thoda hasmukh h or inke sabdo me pardarsita jhalakti h),
ye sunkar tapri wala bola- ki ji bhaiya bathiye abhi krdete h ,
tapri wale stove par patila chadiya or usme pani bharkar adarak kutne laga itne me bagal me baithte hue dr.sahab ne sawal kiya -kha se ho,
to tapri wale ne jawab diya- ki humara naam munna h or hum banaras ke rhene wale h ,
to dr.shab ne ther kr pucha- yha kbse aaye ho kaam par bhai,
to tapri wale ne patile me chai patti or adark dalte hue bola- ki abhi khuch hi samay hua h sahab!
to dr.sahab ne phir kha-acha h bhai! kafi jaldi kaam krne laggye ho padhai wagera karte ho ki nhi?
tapri wala bola - ji nhi sahab padhai chod chuke h!
dr. sahab apni jeb se rumal nikalkar apne chasme ko saaf krte hue bole- ki esi bhi kon majbori hogyi bhai ki tum padhai chod diye ho!
tapri wale ne ubalte pani me dudh daalte hue kha ki -sahab majboori nhi koi school me fail hue to pta chalne par amma ne khub datha or phir humne pdhai chod di or kaam krne laggye !
to ye baat sunkr dr.sahab ne apna rumal jeb me dala or or chasme ko aankho se lagya or ek lambi gehri saas lekar ,tapri wale se bole- hi khuddar kism k insan smjhne me lagte ho jo padhai k aage daath ko mehhta dete , tabhi to amma ne daatha wo dikhayi diya ,par amma ne datha kyu wo smjh na paaye bhai tum!

tapri wala- (karkashata hua ek sarmindagi bhari muskaan)liye ubalti chai me chini dalta hua, dr.sahab ki traf dekhte hue bola ki esa kyu bolre ho sahab !
to dr.sahab ne bola- wo maa h bhai uska haq h tumhe daathne ka maarne ka ,
humari amma to hume abhi bhi daath deti h agar bina batye khi chale jaye to ye khekar -'abhi itne bade nhi hue ho ki apni ko bhi na bta sako ki falana-dhimkana jgah jara hu'
sahab vo maa h usne tumse jyda duniya dekhi h!
ye baate sunte sunte me bhi vichar krne laga or dr.sahab ki baate samjhne ki koshish krne laga ki dr. sahab ne kitni asani se kitni badi baat keh di.
mene dr.sahab ki trf dekhar unse pucha -ki dr. sahab aap to itne bade lekhak h itni sari kitabe likhte h ,rachanye likhte h ! phir aapne bhi to maa par koi kavita likhi hogi jara hume bhi sunayen ?!
itne me tapri wale ne grma-garam patila stove se utara or chai ko channi se chanta hua kulhad ki pyali me rakhi or ek pyali dr.sahab ko di or dusri pyali mujhe di !
phir dr.sahab ne chai ki pyali se pheli chuski li or ek jordaar thaka liye or phir bole -are nhi shrimaan bhala me kese kavita likh sakta hu maa par!
mene (aaschariyachakit hokr) dr.sahab se phir pucha- ki kyu mjak krte ho dr.sahab ,batayena koi kavita to likhi hogi aapne ?
to dr.sahab ne kha- nhi shirmaan me vastav me koi kavita nhi likhi maa par ,iski wjh ye h ki koi kalam itni takat nhi rkhti ki wo ek maa par khuch likh sake !
me dr.sahab ka jawab sunkr kar achambhit hogya ki ek lekhak hokar kitni saralta se unhone ye baat boli !
dr.sahab ne phir ek chuski lekar kha -aap hi btaye shrimaan ki me khuch galat bolra hu!
to mene unhe bola -nhi dr.sahab aap ne kya khub kha is baat ko!
phir dr.sahab ne apni chai khtam kari or tapri wale ko paise diye or bola -
ki jitni jldi hosake apni padhai puri karo or phir apni amma se milne jana !
bich bichme me aata rhunga tumse milne .or phir dr.sahab hath piche krke gungunate hue chaldiye!

© Arya