...

3 views

kalam e khoon
khas e andaaz ke liye khudko badlna padta hai
sona besak kimati hota hai
sona banne ke liye bhi jalna padta hai
jannat e didaar kisi ladki ki surat me nhi hota
jannat ke didaar ke liye marna padta hai
foolo ki raahe milti nhi iske liye kaato ki rahe chunna padta hai
haato ki lakeer takdeer to nhi hote
kismat khud ko bunna padta hai
sapne har koi dekhta hai band aakho se
par pura karne ke liye
raat bhar jagna padta hai
har roj barf jamti hai har roj pighalti hai
par selaab laane ke liye
chattan banna padta hai
ese hi suraj ko suraj nhi kahte
suraj banne ke liye har roj khudko tapna padta hai
khubsurati se acchi hai badsurti khubsurti ko daag se gujarna padta hai
ese hi kasti ko kasti nhi kahte sagar ke toofano se gujarna padta hai
pedaisi koi chalne nhi lagta toker khaker sambhlna padta hai
haato me kalam uthana muskil nhi bas
apni kalam me koon bharna padta hai
© miraan ruth