...

4 views

jivan
kabhi bhi aap kisi chij ke kho jaane se ya na milne se bahut pareshan mat hona,apni jindagi udas mat karna kyuki aap jaisa chahte ho ya Jo Tamanna karte ho wo sab kabhi na kabhi ek din apko milta hai.bhagwan ke Ghar me der hai andher ni.haan thoda time lagta hai par Jo aapke jivan ke lie Sai hota wai hota hai.koi jaruri nahi aap jab Jo chah re apko sab mil jae.thoda samay lagta wo bhi islie taki aap chijo ki value samjh sake.kya apke lie Sai ta kya galat hai wo samjh sake,wo chij apke lie kitni jaruri hai wo samajh sake.haan bura lagta icchae Puri nahi hoti to par jab aap kuch samay niklne ke baad sochoge ki kya sach me wo itna jaruri ta, ya jab apko wo chij mil jaegi tab asli importance samajh aaegi ki wo kitni jaruri ti. ya fir ap sochoge kiMai kitni bachkani harkate karti ti yaa achaa hua jo bhi hua jo bhi hota bhale ke lie hota to bas apne Mann me positivity laaie or khud ko apni kismat ko or logo ko kosna band karie, kyuki hoga to wahi jo Mahadev ne apki kismat me likha hai or yakin maano Aaj nahi par kal ko jab piche Mur ke tum dekhoge to yakin hoga ki kitni pagal thi mai.isilue sab apne Mahadev par chor do or karma kie jao Bina fal ke.fal ek na ek din apko kabhi na kabhi kahi na kahi se jarur milega.kal ki chinta or Aaj ke gam ke lie apne aane Wale pal ko mat barwad Karie mat kosie.jindagi choti hai,jindagi khubsurat hai bs baahon ko faila kar aankhon ko band kar ke vinamrata ke sath hoton par muskan saja kar aankho me sapne saja kar bas jeete chale.jivan hai char din ka ek roj sabko jaana to Aaj apna kyu jalana bas khus rahe, khus rakhe or apne life ki movie me interest le.