waada
waada ... promise.. wachan .... aur bhi kai naamo se jana jata h .. sabdo main piroye ehasas ko ... jish sey hum samne wale ko ye viswas dilatey h ki hum apno kahe ko hamesa manyenge par actual main shyd aisa nhi hota... har vo wada jo kiya jata h ..... nibhya nhi jata... mano todne ke liye hi bnya jata h..... ek bar kishi ne wada kiya.... tumhra sath dunga main... vo inshan chod ke chla gye ..... wada vhi ka vhi reh gya... phle log wade ish tarah karte h ki aap unpar yakin kr lo... phir... tut aise jatey h jaise kuch hua hi nhi.... aur phir wade par tikey.... batein ristey.... ghr aur duniya .. sab aise bhikhar jata h... jaise .. koi kudarati aapda aa giri ho... in sab main sabse jyda.... thesh phuchta h... komal man ko... jishney pure kaidey se...wada krne wale ush inshan ko aur ushke kiye bebuniyade wade pr jivan ki sanrachana kar li ho.... wada....akhir jb tut jata h vo inshan bhi tut jata h... aur phir..... jud nhi pata ........