...

5 views

koi naam na hoga...(part 2)
jaane kaise hafte aur mahine beete,
hum toh usi ko dekh aaj bhi hai jeete,
semester ke exams bhi khatam ho chale,
kuchh pass hue,
toh kuchh fail ho kar bhi gale mile,
par usne maano khud ko,
ghari se tha bandh rakha,
eik pal bhi uska na usse koi chura saka,
eik din himmat kar usse do ghari baat hui,
shayad yeh hamari pehli mulakat hui,
baat fir bhi kitabo tak hi rahi,
aa gayi uski sawari aur woh ghar ko gayi,
palat kar mujhe usne ek baar bhi na dekha,
maano dekh kar bhi kiya tha andekha,
par khush tha yeh jaan kar,
ki mera naam jaanti thi woh,
haa mujhe pehchanti thi woh,
itni khushi eis dil ke liye kaafi thi,
abhi toh bahut kahani baaki thi,
maana dost nahi tha mai uska,
par ab ajnabee bhi na the hum,
par un khushiyon par dhaya aisa kehar,
corona aaya hamare shehar,
classes ab online start hui,
fir dobara na usse baat hui,
na paas tha uska number,
na insta aur facebook par mili,
jaane kya pata tha uska,
jaane rehti thi kis gali,
din rahe the beet use fir dekhne ki ummid me,
dekhta tha use ab bhi par nind me.
anjali