...

0 views

Musaafir~
The girl took her steps carefully. The road was not much well. It was a dense forest all around. As much she remove the branches, she get more in return on her way. She cleared her way and got into the middle of the forest. She looked up and found the moon glowing right above her head.

'Meri khawaish yahi hai ki main apne Chand ko bs ek baar chhu paaun (touch) jo itna akele hote hue bhi akela nhi hai'

She looked all around and saw that she wondered how far she had walked but she wasn't scared.
"How beautiful it is. Just me and my moon and no one to disturb us. I can speak my heart out here."

'Asaan nhi tha khudko logon se juda Krna. Bhag aayi hun sab chodhke is duniya mein Jahan koi nahi hai, yeh duniya jo sirf meri hai aur kisi ki nhi, jahan sirf main maujood hoon aur koi nhi, jahan main apne Dil ka kar skti hoon kisi ke izazat ke bagair, jahan main main ban kr ghum skti hun, jahan mujhe is cheez ki fikr nhi ki woh mere baare mein kya sochta hai, jahan main apne liye jee skti hun. Jaisi zindagi chahti thi us tarah se.'
She took a deep breath and continued.

'Logon ki mehfil ki adaat thi ab tanhaiyon mein sukoon milta hai. Pehle logon se judaa hone ka khauf tha ab judaa hoke khush hona acha lgta hai. Pehle dusron ki Khushi khudki Khushi ban gyi thi pr ab khudki Khushi mayne rakhti hai. Yeh zindagi jo dusron ke naam ki thi woh wapis mere naam hogyi. Zinda na rehne ki soch khatam hoke kaise Zinda reh skti hun mein tabdeel hogyi.'

A sharp wind blowed and she covered herself with a blanket and sat on the rock near the lake and continued.

'Jaise Chand ka aksh bohot khubsurat lagta hai Nadiyon mein aur usse kareeb se dekho toh uski khamiyaan dekhengi pr woh usse aur khubsurat banati hai thik usi tarah humari khamiyan bhi humein khubsurat banati hai.'

She stood up when she heard a voice. She gone near the bushes and after subsiding a bit of the bushes, she found a little rabbit hiding under a small rock scared of something, she picked it up and brought it near her chest, hugged it.

'Aye musafir tu darr mat main hun na saath tere. Yeh hum dono ki hi duniya hai. Tu aur main dost hai. Hum ek se hai. Aaj se tum mere saathi ho.'

An idea pop in her mind and she spoke.

'Is duniya ke logon ko dekho aaj ek dusre ke khilaaf khade hai, us khuda ka Zara sa bhi khauf nhi jisne inhe banaya tha ek dusre ka saath Dene ke liye. Aaj unmein se ek unse dur ja rha hai phir bhi unhe koi takleef nhi hoti. Aaj unmein se ek toot raha hai unke lehazon se pr unhe koi Farq nhi parta. Aaj unmein se ek ki tabiyat shi nhi woh usko dekhne Tak nhi aata hai. Kya humare Khuda ne yahi sikhaya tha humein? Kya unhone humein Khudgarz banaya tha? Nahi na toh phir hum aise kyun hogye. Hum toh ek dusre ke saathi the musafir toh phir hum alag kyun hogye?'

She walks back to the rock and sat with rabbit on her lap  and silently looked at the moon with the never ending questions in her mind.

© Shines