...

4 views

Experience
kahate Hain Anubhav umra se nahin paristhitiyon se aata hai
yah baat sach hai kyunki aap aapki umra se jyada tab Anubhav karte Hain
jab aap un paristhitiyon ka samna karte hain
jitni musibat aap ki jindagi mein aati hai aap utane hi majbut bante jaate Hain
jisse aap aapki umra se jyada Anubhavbhi ho jaate Hain
aane wali kathinaiyon ko aasani se samna kar lete hain
Insan umar se nahin Anubhav se hi bada hota hai yah baat kahin na kahin sach hai
Apne se bade jab aapko koi Sikh dete Hain to ham unhen tab nahin samajh paate Hain jab ham vah Anubhav karte hain tab ham use samajh paate Hain
kyunki bade Apne Anubhav se hi aapko samjhane ki koshish karte Hain
per hamen samajhme tabhi aata hai jab ham use Anubhav karte Hain
Apne se bade ki Di gai Sikh ko samajhne ki koshish karo
jab aap yah samajh jaaoge to aapko aapki jindagi mein kisi bhi pareshani ka samna karne ke liye aur kisi ki avashyakta nahin hogi ......