...

181 views

Aatma Ki Pukar
Aksar yeh dekha jata hai ki kuch aadmi Bhagwan ke prati jyada jagruk hote hein.Voh log bhakti me leen rahte hein.Kabhi kabhi unhe mahsus hota hai ki unke parivarjan unki bhakti me badhak hein.Eise byakti apna ghar duar chodkar mandir , .masjid aur girja gharo ke duar duar bhatakte rahte hein.Unhe Ishwar darshan ki khwahish ho jati hai.Koi koi to bhatakte bhatakte budhe ho jate hein,kisi kisi ki to ghar se bahar hi mrityu ho jati hai.Lekin unhe Iswar darshan nahi milta hai.
Is prakar ki bhakti ko log asli bhakti nahi mante hein.Unhe lagta hai ki unki bhakti me kami rah gayee hai.Iswar darshan ka udaharan sabhi dharmo me milta hai.Mother Teresa ko apni yatra kal me darshan mila, Ramkrishna Dev ji ko bhi Jesus, Mahammad Saheb aur devi Kai ka darshan mila.Yeh to pahunche huye byakti thhe.Lekin sadharan logo ke saath kya hota hai?Yeh log bhakti to karte hein lekin biswas nahi rakhte hein.

Eisa hi ek aadmi jo Iswar se prem rakhta tha aur bhakti bhi karta tha.Sath hi darshan bhi pana chahta tha.Unke roj ka kamkaj kuch alag tha.Roj subah uthkar naha dhokar bahar jata tha,garibon ko khana khilata tha,dan dhyan karta tha.Pooja path me magna rahta tha.Mandiro me bhajan gaya karta tha.Log unhe Sadhu ji kaha karte thhe .Lekin apne ghar ke logo ke prati unka vyavhar achcha nahi tha.Ghar ke log unse pareshan thhe.

Ek din kuch sadhu log unke ghar padhare.unhone unki badi seva ki.Usne sadhuon se Bhagwan darshan ka marg batane ko kaha.Sadhuon ne unhe tirth yatra ko jane ko kaha aur kaha kahin na kahin prabhu mil jayenge.Agle subah Sadhu ji ghar chod kar chal diye.sSadhu ji anek mandiron ka darshan kiye.Har jagah yehi kahte gaye ki He Prabhu darshan dijiye.Kuch sal bit gaye ,voh ek pahad par chadh gaye .us jagah ek mandir ke pas rah gaye.In vashon me voh kafi budhe aur bimar ho chuke thhe.Bimari ke karan aage nahi ja sake.
Ek rat usne Bhagwan se kaha aaj darshan de hi do .Shayad mein mar jaunga.Achanak ek aawaj sunai padi,Sadhu,tum itna dukh uthkar mera darshan karna chahti ho.Usne kaha aap kaun hein? Jawab aaya mein teri aatma hun.Tumhe dashan nahi milega.Usne kaha kyon?Jawab aaya kyonki tumne apni galtio ko nahi khoja hai.Sadhu ne kaha mein to hamesha achcha kam kiya hun.Fir jawab aaya ,nahi tune apne parivaar jano ko hamesha dukh diya hai .Aatma ne kaha uth ja tera parivar intejar kar raha hai.Mein tumhe vohin darshan dunga.Sadhu ji ko pachtava hua.voh agle din ghar ki taraf chal diya Jakar voh sabhi se mafi mangi.Sabhi ka dekh bhal karne laga Usi rat fhir aawaj aayee,sadu tum mujhe har prani me dekho.Agle din se Sadhu ji santust dikhe aur tan man dhan se sabki seva karne lage