...

4 views

pehla pyar
log kehte hai ki hum apna pehla pyar kbhi bhul ni sakte mai hamesha socha karti thi ki uski vajah kya hogi jab vo pehla pyar hamare zindagi ka hissa hi ni hoga to mai usse bhulugi nahi or agar ni bhulugi to kisi or se pyar karna jayaz hoga kya?
to aj jab mai is mukaam pe khadi hu jaha ab tum meri zindagi mai b na hokar b ho tab maine ye samja ki tumhe bhulaya ni ja sakta
jab maine tumhe dekha tha to bade anjaan lage the tum par kahi na kahi mere kadam ruke nahi or tumahari baatein sunte sunte bs chalti rahi tumhare sath ye jab har roj hua to muje aj b vo ehsaas yaad hai ki mai kitni betaab hoti thi ki aj fir hum milege tum b chori chori dekhoge muje class k waqt or muje pata hoga ki tum muje nihaar rahe ho or mera man ek bache ki tarah khush ho raha hoga
ye ehsaas har din kuch naya sikha jaate the fir jab hamari duriyan badhi tab dard itna hua or mai samaj hi pai ki karna kya h kyuki mai is dard se anjaan thi har chij nayi or bebas kr deti thi
bohot kuch sikha hai maine is pyar se isne muje chalna or girna sikahya hai
har chot mai hum kaise alag bartaav karte hai ye sikhaya hai
isne muje kisise se pyar karna kisise naraj hona kisi ka intezaar karna ya kisi k diye hue dard mai ubhar k nikalna sikhaya to aj jab b kabhi mai tumhe dekhti hu to muje tum anjaan nahi lagte kyuki humne ek dusre ko sath mai jaana hai
or jab mai kisi or se pyar karna hoga to muje us pyar ka matalb Tumne sikahya hai isliye mai tumhe kabhi bhul to nahi paugi or shayad ye pyar ne muje bas aage badhna sikhaya h