...

7 views

ek tarfa pyar
jab jab tum mere karib hote ho ye dharkan badh jati hai
sansein ruk si jati hai mano kuch kahna chahti hai in hawaon se
itni pyari dhun chiriyon ki sunai parti hai mano wo mere pankh laga re ho
ajib si aahat hoti is dil mein thoda sa dar thoda sa pyar
dar tumhe khone ka or pyar iti pyari si muskan dekh kar
tumhe yun chup chup kar dekhna mano patto ke bich chand ko niharna
tumse bate krne ka bahana khojna par pata ni jab bat karne jati to sab bhul jati samajh ni aata kya bolu
tum bhi sochte hoge jarur ye pagli hai
par kya karu sachii tere pyar me pagli hu mehsus kar ke to dekho
ek bar meri aankhe padh ke to dekho
meri jazbato ko samajh kar to dekho..