...

7 views

Dear future parents
Meri mehnat kamyab ho jaygi agar apne ek bar bhi is problem ke bare mai socha seriously.....yes, hum bacche hai...ham abhi parents nhi bane..hame nhi pata parenthood life kaisi hogi ..lekin ham future mai parents banenge , aur jo abhi parents hai kyu na ham unhe ye thoughts de sake ki ...
domestic violence ... disloyalty ..
Anger..fight...cruelty..abuses ..parents ke rishte mein jab maujood hota hai toh bachho par kyaa asar hota hai... Aise badnaseeb parents apne bachho se bachpan ..galti karne ka chance.. Self confidence..self love... Apni zaat ka ehsaas sab cheen lete hai...

Toh kya aap logo ko shadi ke baad bacche hi paida karne hote hai ? kyuki ye society ke norms hai ki jee apne shadi karli ab bacche paida karlo, baccha to hona hi chahiye ..
par , us bacche ka kya Jo allahpak ne apke zimme mai likha hai ..us massom dil ye kaise seh sakta hai ki woh do shaks jinko duniya mai sabse phle dekha wo hi ek dusre ko bardast nhi karte ..isse sabse phla masla aata h lack of communication ka aur baad mai to masle hi masle hai ...

believe it or not sexual thoughts, robbery at young age, mental problems, harrasment,
porn watching, self harm , fight l, abuse ki ek bohot wajha ye bhi hai ..chahe to aap koi bhi research utha kar dekh le ..

bewakufo duniya to waise hi jahannum hai kyu apne ghr ko nanhe farishto ke liye dozak bana dete ho ...ki use puri duniya zyada acchi lagne lagti hai ..ghar jaise jannat se zyada.... kyu?? ..kisne haq diya apko itna badha gunha karne se phle ......

These children are not just product of your intercourse ..rather , they are emblem of your halal relationship !

wake up .......

"un shakhon ke patte aksar lehrana bhul jate hai, jinhe apas mai hi takrane se fursat nhi milti "

our shamaira , she is most crazy, most bewakuf most challenging ,most complicated ..who is unaware of herself ..her feelings...

Aur aisa hi hota hai , baccho ke kamzor dilo pe sadma baith ta hai ...aur apna aap kho baithe hai ...

aur ek baat bata du har ek baccha itna khush naseeb nhi hota ki use jazib jaisa support system mil jaye. .yaha jazib to maira ka dushman e jaan hai ..jeene ki wajha hai ek dusre ki ..par sabhi bacche itne khush naseeb nhi hote...woh taa umar kisi bhi khalish rishte pe bharosa hi nhi kar patee aur na hi apne aap par ....

Toh aap sabhi jo parents banne vale hai woh ye zaroor sochna ki kya aap is layak hai ki aap apne pairo ke niche jannat rakh sakte ya aap jannat ki chabi sambhal sake ....agar nhi to phle aap layak bane...apne shohar/ biwi ke khubsoorat rishton ko waqai mai khoobsurat banaye....
baad mai aulaad jaisi rehmat ko khuda se mange .... pls.

har problem ka ek hi solution...mera Rabb

ji apke zindagi mai hazar tensions hai par un tension ke sabab apke rishte nhi ...toh in pyare rishton par in tension ka asar bhi jayiz nhiiii.....

maaf kariyega agar kuch galat kaha ho .

shab