...

17 views

ye mera diwanapan hai ❤️
shamma pighale na koi bhi ,
namumkin hai ye।
ha har ek aanch ki apani alag baat hai।
yun to kahate mili kitani chingariyan,
ki unhe janmon se meri ruhh ki talaash hai।
uff kya hi kahaze unke lahaze ko ab,
yun samjhaiye hai madhosh ham baahon me unaki, aur labon se chhalakta ek shailab hai।
haye ye shokhin ye aisi ki n ho sake,
mano lafzon se sangemarmar tarashe koi,dekh bhi na sake khud ko aankho mein unaki,
hamko hamari haya parde me lane lagi।
naam leti nahi thaharane ka ab, jane dhadkam me kaisi hai hadbadi, saanse rukne lagi mano jaan ab to meri jism se bhi jane lagi।
hai ab ye aalam sanam , hai pure madhosh ham ,mano aagosh me thama nahi to bikhar jaenge।
aanch aane lagi hai mujhako saanson ki tumhari,le lo aagosh me ke ab ham pighal jaenge।
❤️
© Monika Verma स्वर्णकार