Saza...3
Pul ke upghatan se ek raat pehele hi waha security checking ke liye officer's aur kuch gao ke log aye the . Mantri ji ke haatho is pul ka upghatan hone wala tha isliye shurksha ka pura khyaal rakha ja raha tha . Raat ko 8 baje tk us pul ki talash li gai aur do sipahi waha dekh bhal ke liye tenak kr diye gaye the jihne us pul ke sabse nazdeek wala makan (veer ka ghr ) rehne ko diya gaya tha . Woh dono sipahi bhi us qatal mein shamil the . Raat 10 baje jab pura gao so chuka tha tab hi pul pe kisi ke chekhne ki awaz aai ek sipahi ne chok ke darwaza khol kar dekha Andheri raat mein kuch saaf saaf dikhai na dene ki waja se usne akele hi touch ki roshni mein pata lagane ki koshish ki jese hi woh pul par pohcha achanak uske sir pe piche se kisi ne waar kiya aur ek cheekh ke saath woh behosh ho gaya . Apne saathi sipahi ki awaz sun kr dusra achanak se uth ke usse pure ghr mein dhondhne laga kahi na milne ke karan usne bahar talsh krna shuru kr diya jab touch ki light us pul pe padi to uske pairo tale zammen khisak gai ...samne us sunsaan pul pe uske saathi ki lash latak rhi thi hawake bicho bich...moat ka aesa manzar dekh ke dusre sipahi ko dil ka dora aa gaya aur woh wahi ussi waqt mara gaya .subha jab gao walo aur police officers ne is manzar ko dekha to unki ruhe kaap gai . Dar ke mare koi un lasho ko chune ko bhi taiyaar nhi tha lash ko aese hi chodh diya unke ghr walo ko jab yeh baat maloom hui aur unke aate aate hafte hone chale the unho ne usse dafna diya par aaj bhi us pul ke ass pass ke logo ko unki cheekhe aur rone ki awaze sunai deti hai jese koi bohat taqlif mein hai madad mang raha ho.is hadse ke baad is gao mein jese kehar hi toot pada ho har taraf bus dukha aur taqlif ke hi halaat the .kuch lalchi logo ki hawas hi waja se ek khubsurat Gulshan aaj moat ka khnadar ban chuka hai ...
The end...
© Z@in@b~
The end...
© Z@in@b~