...

8 views

सबसे बड़ा रोग क्या कहेंगे लोग
kitne khwaab, kitni khwahishein, tod diye jate hai sirf iss ek baat se ki
" log kya khenge" jab bhi hum kuch achha krne ja rahe hote hai ya phir karne ki chahat rakhte hai tabhi hum sochne lagte hai ki log kya khenge...... jiski wajh se hum apne dil ki krne se ruk jate hai ya phir hame rok diya jata hai kyuki hamare parents bhi aisa hi sochte hai ki society kya khegi , rishtedaar kya sochenge ke darr se hamare kitne sapne tod diye jate hai.... jinhe pura krne ki phir hum himmat bhi nhi juta pate hai

sach Btau toh yha kisi ko koi fark nhi padta ki tum kya kar rahe ho... log aaj bolenge, kal hasenge parso bhul bhi jayenge logo ki baaton mei aakr tum apni puri life se compromise kar rhe ho yeh bilkul sahi nhi hai aisa krke hum khud ke saath hi galt krte hai kyuki jab hum kuch bhi nhi karenge tab bhi log bolenge.....
aap kya chahte ho , aap life mei Kaisi situation face kar rhe ho isee logo ko koi farak nhi padta isliye agar khush rehna hai or kuch Krna chahte ho apni zindagi mei toh yeh sochna chhod do ki
" log kya khenge" hume sirf ek hi zindagi milti hai , usme bhi agar hum kuch chahte hai toh ruk jaane ka koi sense nhi hai aaj se or abhi se apne sapno ko khul kar jiyo unhe pura krne ke liye har mumkin koshish karo mehnat karo par ruko mat!
yaad rakhna ye log sirf tumhari nakami par hasenge or taane kasenge or at the end yahi log tumhe kandha dekar jala denge.....
isliye " log kya khenge" yeh sochkar apna waqt zaaya mat karo !!



© कृष्ण_प्रिया
#logkyasochenge
#selfmotivation
#kuchtohlogkahenge