...

8 views

Kya ham Ghulam hai..??
We live in 21st century.

Waqt itni teji ke sath badal gaya ki logon ko parivar ke sath baithkar ek movie dekhne tak ka time nahin.

science ne itni tarkki Kar li Hai Ki hamari jarurat ka saman ek 4 inch ke mobile mein fit aa gai hai.

Lekin kya humne science Ki madad se apni jindagi aasan banai hai..??

Azadi To hamein bahot pahle hi Mil Gayi thi. lekin Kya Ham sach me Azad hue hai ya fir se gulam ho gaye hai...??

Kahi Ham gadgets Ke gulam to nahi..??

Waqt ke saath hamari jindagi ki raftaar itni badh gayi hain ki, Kisi ko Kisi Ke Liye waqt hi Nahin milta.

Or joke ke liye kah dete Hain Ki pahle रक्तदान महादान hota tha aur aaj वक्तदान महादान Ho Gaya hai.

Koi Agar humse milane aa Raha hota Hai To Ham use kah dete Hain Ki WhatsApp per location bhej diya hai follow karte hue chale aao.

bhale hi hamein 4 kilometer Aage jakar U turn Lena pade, Ham GPS follow karte Hain aur Fir baad mein Google map ko 4 batein sunate hai, Saath hi Saath dost Bhi do batein sunta Hain Ki agar tu nukkad per khada rahata to kya ho jata..??

Ham sochte Hain Ki kahin jaane ke liye har dusre aadami se Rasta puchna jaruri hai kya..??

But this is called Human Interaction.

sabse jaruri Raasta Hai Ki uss per chalte hue Ham kitne logon se milte Hain..??

Kaisi yaadein banate hain..??
Jaisa ki maine pichhle story Mein kaha tha....
Yaadon ko store Karke rakhna.

Aaj ke waqt me...
GPS Ke Bina...
Logon se puchte Huye...
Kahi pahunchne ki koshish kro...
kabhi experience Karke Dekho...!!

aur Dekho aap kaise-kaise logon se milte Ho..??
Kaisi yaadein banate ho..??

Whatstapp, Facebook or Video chatting ke bina...
love letter ke through apne boyfriend or girlfriend se baat kro..
kabhi ye bhi experience Karke Dekho...!!
Ki aap kaisi yaadein banate ho..??

YouTube, Telegram or MX player Ke Bina...
family ke saath baith kar ek movie dekho...
Or experience karo ki aap kaisi yaadein banate ho..??

Or sabit karo ki Ham gadgets Ke gulam Nahin hai...


© Dill_Vill_Pyar_Vyar