...

3 views

pyar dosti hai❤️
subtitle : aaj ki story do aise logo ke bare mein Jo bestfriends hai .inki dosti pyar mein kaise badli hai ,ye vo log khud nhi jante .ye kahani hai nishchay or Naina ki.

part -1
aaj collage ka pehla din hai ,sab log aaj bhot exited hai,sirf nishchay or Naina ko chodkar.
nishchay hamesha ki tarah collage late aaya or Naina hamesha ki tarah usse naraj hai ,hona bhi chahiye aakhir dono bestfriends hai na .nischay fir se Naina ko manane ki koshish kar rha hai ,par Naina aaj nhi manne wali ,par use pata hai ki nischay use mana lega,or thik waisa hi hua.naina man gai.

part -2
collage k second year tak sab shi tha ,par collage k final year mein aata hai ek naya shaks,us shaksh ka nam hota hai sourabh . sourabh,nischay ka accha dost ban jata hai .
Naina jab sourabh se milti hai to use vo accha lagne lagta hai ,halaki vo sirf use acha dost samjhati hai . nishchay shuru mein to insab ko majak mein leta hai or ye sochata hai ki Naina agar use pasand karti hai to usmein mein kyu bura feel kar rha hu. Naina collage function mein busy hone k karan nishchay ko time bhi nhi pati .use lagta hai ki shayad vo sourabh se pyar karne lagi hai isliye mujhe time nhi de rhi .

part-3
nishchay ,Naina ko sourabh ke sath dekhakar jealous hone lagta hai or un dono se thoda dur ho jata hai . nishchay ye samajh jata hai ki vo Naina se pyar karne laga hai.vo Naina ki Khushi k lie un dono se alag ho jata hai ,or akele rehne lagta hai . Naina apni padhai Puri karke ghar ja rhi hoti hai,or nishchay use by bolne ke lie aata hai .nischay ki aank mein aansu dekhakar sourabh samajh jata hai ki nishchay ,Naina se pyar karta hai .vo nishchay se kehta ki rok lo Naina ko ,vo tumare Bina kabhi Khushi nhi rahegi .nishchay usse kehta hai ki vo mujhse nhi tumse pyar karti hai ,tum uska hamesha khayal rakhana itna kehkar nishchay bhi ja rha hota hai ,tabhi sourabh use aawaj dekar kehta hai ki "Are pagl vo tujhse pyar karti hai ,usne tujhe jalane k lie hi mujhse dosti ki thi ,par tujhe samajh hi nhi aaya "nishchay ye bat sunkar vhi ruk jata hai ,or apni galti ke lie mafi mangata hai or usse kehta hai ki mujhe maf kar do ,sourabh kehta hai abhi Naina ko rokne ka time hai agar vo chali gai to wapis nhi aaegi .nishchay Naina ko rokta hai ,or usse kehta hai ki " mein pura pagl hu jo tere pyar ko samajh hi nhi paya " or usse mafi mangta hai ,or Naina ko shadi ke lie propose karta hai .dono shadi kar lete hai ,or apni life Khushi Khushi bitate hai.

moral : hamesha kisi tisre ka aap ki life mein aana chupe hue pyar ko samne la deta hai.hamesha kisi chij ki kadar hame tabhi hoti hai jab vo chij hamse dur ja rhi hoti hai.💓