...

18 views

Samjhna nhi chahta hai koi..
# ye koi kahani toh nahi hai
par mere dil ke jajbat hain!😊

Dil aj bahut akela hai,
kis se kya kahun,
mann mein vicharo ka mela hai,
hak nahi hai mujhe gussa hone ka,
mann karta hai jee bhar rone ka,
phark nahi padta kisi ko mere hone na hone ka,
kyoon akeli hoon main,
samjhna nahi chahata hai koi....

kis kis ko samjhau,
kis kis ko apnau,
kis ki sunoo kis ki na sunoo,
par sabki sunani hi kyon hai?🥺
kya zindagi meri nahi hai?
kya mujhe khud ka sunane ka adhikar nahi?
rone ka mann hai,
hasne ka dil karta hai,
yaadon ka woh silsila bahut satata hai..
Dil kaha khud ko samjha pata hai..
kyoon akeli hoon main,
Samjhna nhi chahta hai koi....

dikh to sab kuchh raha hai,
par dekhne ka mann nhi,
ho to sab kuchh raha hai,
par samne jane ki himmat nahi,
pata hai koi nahi mera,
par dil manta nahi,
woh toh ro padta hai,
tut tut kar har pal bikharta hai..
sochata hai akhir galati kya huyi,
jo har shakhs use tadapata hai,
kyoon akeli hoon main,
samjhna nahi chahata hai koi....

kuchh bhi to nahi manga tha maine,
bas koi ek apna ho yahi chaha tha maine,
jisase sab kuchh keh sakoon,
koi kitna bhi keh jaye,
par uske paas jannat ka sukoon mile,
Bas koi apna ho jo meri sune,
ro padu toh sath mere woh bhi roye,
dil ko na samjha pau to samjha jaye,
main kaise kahun ki har gayi hoon,
dost ne bhi sath chhoda,
usi ka sahara tha..
nahi toh dil ye bechara tha,
use bhi main n bhayi,
usne dil se meri dosti ko aag lagayi,

dosti todi usne itni aasani se,
ek bar bhi nahi socha,
kya hoga uske iss dost ka jisne,
mujhe apna dil mana tha,
meri yaadon mein kitna royegi woh,
kis ke kandhe siir rakh kar ansu bahayegi woh,
ek bar bhi usne ye na socha,
itni aasani se sath hai chhoda,
kyoon akeli hoon main,
samjhna nahi chahata hai koi....

main bhi ruthna chahti hoon uss
dost se
par mujhe hak nahi,
meri koi dost hi nahi,
isme koi shak nahi,
bahut kuchh kehna chahti hoon,
apni uss dost se..
jo shayad ab meri nahi,
kehna chahti hoon ussase....
ki mujhse behtar dost milegi jarur,
par mujhsee mil jaye toh kehna,
main phikr karti thi,
shayad ye baat tumhe khalti thi,
phikr toh aj bhi hai tumhari,
par jatane ka hak hoon main hari...

mujhse behtar milegi dost tumhe
lekin mujhsee nahi,
dekhna kabhi ehsas tumhe bhi hoga
uss sachchi dosti ka,
jab kabhi meri hi raah chalogi tum,
kya kahoon tumhe khud se jyada mana,
par shayad galati meri thi,
jo maine tumhe apna jana,
sab kuchh kehne ki himmat nahi,
kash mujhme bhi tum jaisa sahas hota,
gussa bhi hoti aur dosti bhi todti,
kya karoon yar majboor hoon main,.
dil mein hi roya karti hoon,
mann hi mann baate sajaya karti hoon,
mujhme toh kuchh bhi nahi hai,
tut gayi hoon main
jane do baat nahi karni toh mat karo
mujhe nahi samjhna toh mat samjho,
ek gujarish hai tumse tumhare sath bitaye har pal ki yaade mita do,
woh bahut satati hain,
nahi chahiye mujhe koi yaade,
jo tum se judi ho,
kyonki woh muskan nahi dard jyada deti hain...

akhir mera bhi dil hai yar,
ab nahi roya jata
khul kar hasna chahti hoon,
bas mujhe meri zindgi lauta do ab,
shayad main tumhari dosti ke layak nahi,
mujhse bhi achhi milegi tumhe par
shayad mujhsee nhi...
tumhare liye bhale hi main kuchh na hoon,
par yar mere liye sab kuchh ho tum,
meri khushi ho tum, sabse pyari sabse nirali dost ho tum,
kal best friend day tha..
maine toh tumhe kal sham wish bhi kar diya,dinn bhar tadapti rahi ki abhi tak tumhara message nahi aaya,
Best friend maine tumhe mana tha,
par shayad kuchh galati ho gayi,
mera message seen kar ke bhi tumne isi liye wish nahi kiya,
Dil to mera bahut roya,
par shikayat nahi hai tumse,
abhi bhi message ka intezar hai,
jab bhi mann ho kar dena message,
tumhara hamesha welcome rahega,
agar nahi karogi,
toh bhi koi baat nahi,
bas dil hi dukhega na?
sah lungi main,
tumhe manane ki koshish bhi chhod dungi main,
kyonki tumhe meri jarurat hi kaha hai!

main tumhe pareshan karna nahi chahti,
bas meri vajah se tumhe koi taklif na ho,
mai yahi chahti hoon,
chalo yar tum akeli nahi rahogi,
par main toh akeli pad gayi
sab sah lungi,
tu mujhe bata de main kaise tujhe bhul jau?😥
kyoon akeli hoon main,
samjhna nahi chahata hai koi...

main tumse kuchh nahi chahti,
I wish ki tum khush rahogi,
aur main bhi nahi shuruvat karungi,
par shayad ye mujhse mumkin na ho payega,
bestest friend ki jagah toh tumhari jay yar mere dil mein,
phir koi aur toh nahi aa sakta,
kyoon akeli hoon main samjhna nahi.
chahta hai koi...

be happy 😊 my dearest bestest friend
lots of love from me.. I guess I am not yours..
bye dear..But if you need me
I always with you....

yeh meri dost ke liye jo mujhe jaan se bhi pyari hai.. dosto..🥺🥺❤️



@Vanshika_writes
© All Rights Reserved