...

9 views

Ye humare hai kon???
Vaise agar socha jaaye toh samaj "society" kya hai????

ye humara koi relative nhi hai, humare mummy papa nhi hai but humari har cheez mein interfere aise karte hai jaise humari aatma hai!!!!

Like:- Maan lo ki ak ladki hai 'xyz' koi bhi... voh shorts pehnti hai toh society usse kya kahegi, "Hay rabba iss ladki ko tameez hi nhi, ya ye toh bhot jyada udi hui hai, ya phir badchalan hai ya ladko ko dikhane ke liye pehnti hai.....

Par unhe yaahan bhi chain nhi..


Agar koi ladki isi ke opposite hoti hai..

Full- covered kapde pehnti hai, toh society ,"Ye toh bhn ji jaisi hai, aajkal aise kapde kon pehnta hai, trend ke saath aage badhna chaiye ise toh koi milega hi nhi...

Mtlb ki jo aunties pehle sati- Savitri thi voh baad mein modern actress ho gayi...

Nhi voh hai kon humari, na maa na papa phir bhi humari life ki har cheez mein interfere karengi...

Har ladki ki apni pasand hoti hai apna lifestyle hota hai, kisi ko shorts mein comfortable feel hota hai toh kisi ko covered mein but voh usi mein sundar lagti hai jisme uska mann hota hai.


Aur agar koi ladki inn sab se tang aakar
"socide" kar le toh phir bhi inhe chain nhi padegi, "dekha kaha tha na ki itne chote kapde mat pehno, ab kuch hua hoga toh bhugto..."

Ya phir,"Dekho kaha tha na ki ache se bann than ke trend ke saath raha karo, kisi ne pasand hi nhi kara hoga ab dekho lo"...


Mtlb ki inhe humari life apni life se jyada pyaari hai.


: Aaap sab log comments mein bataiye ki ye humare lagte kon hai 🙄🙄🙄....
© Rahnjhan