...

4 views

अलमारी और रिश्तों का फैसला...
Pooja ne kaha ki har dabba khol Kar dekh Lo, naye ghar mein sirf vahi jaega Jo kaam ka hai.

Main chahe naye ghar jaa raha tha lekin biwi to vahi purani thi.

Maine bachhon Ko dekha aur socha -

Sab kuchh To Hai mere paas...

Naukari mein tarkki ho gai hai,
Naya ghar ke liya hai.
Nayi gaadi lene ki planning chal rhi hai.

Packers & Movers wale ne kamre ke ek kone ko dekh kar kaha - Sir, iss Almaari ka kya karna hai..??

Pichle 6 mahine se hum dono miya-biwi ke bich ek sawal hmesha uth khada hota hai - Iss Almaari ka kya karna hai..??

Packers & Movers wale ne fir se puchha- Sir, iss Almaari ka kya karna hai..??

Darasal mai bhi kabhi jaan hi ni paya tha ki aakhir iss Almaari ka karna kya hai..??

Mere Dadaji ne apne student days me ise kharida tha.
Jab Papa student huye to unhein mili fir mujhe.

Packers & Movers wale ne fir kaha - Sir, Pura measurement le lia hai, Ye 7 feet ki Almaari na to apke naye ghar ki sidhi se upar jayegi or na hi apke darwaje se andar ghus payegi.

Pooja gusse se andar aayi or kaha - Aaj iss Almaari ka faisla karna hi hoga.

Maine Dadaji ki virasat ko dekha or ik lambi saas li aur Packers & Movers wale se kaha - Boss kisi kabadiwale ko jaante ho jo iss Almaari ko kharid sake.

Fir Pooja se kaha - Kam-se-kam iski chabhi to de do, Aakhri baar dekh lu ki isme hai kya..??

Almaari ka darwaja jor se awaz kar ke khula. Andar mere Dadaji or Papa ke yaadon ki mehak thi.

Peele pad gaye panno wali kitaabein..
Purane Photo-Album..
Dadi ki Chudiya rakhne ka chota sa Box..

Ramcharitra-manas rakhne ka stand.. Jispe Papa aksar akele me Sundar-kand padha karte the.

Maa ke Sindur ka dabba,
jo apne bidayi ke waqt wo apne ghar se laayi thi. Barso pehle jo kho gayi thi or jise hum mahino dhoond'te fir rhe ty.

Brown colour ki purani file,
Jisme Gao ke Property ke wo kagaj the jiski wajah se Papa aur unke 2 bhaiyo ke beech Mann-Mutaw ho gya tha.
Papa ne finally kaha - Nahi chahiye mujhe ye zameen..
kagaj ke panne, rishto se jayada jaroori nahi hai mere liye.

Mai jaanta tha ki - Pooja intezar kar rhi thi ki kab mai is Almaari ka saaman raddi me fek du.
Kab kabaadi iss lakdi ke pinjare ko le jaye.

Galti uski nahi thi, Meri thi.
Kyonki maine kabhi usay bataya tak nahi tha ki - Jo beet gaya uss se mera koi rishta bhi tha.

Jis'se ek-ek kar ke mai saare rishte tod chuka tha .

Na jaane kab apno se ajnabee bann chuka tha.
15 saal ho chuke the Papa se baat kiye huye.

Pooja ne kaha - Kuch mila..?
Maine kaha - 5 minute do yaar, Teen pushto ki yaadein band hai isme.

Itne me kabadi wala aa gya or kaha - Sir, lakdi achhi hai shaal ki but purani ho chuki hai, Deemak bhi lag gya hai. Iske mai 1000 rupay tak de sakta hu.

85 saal purani..
Itne chamkeele aur khubsurat lamho se lipti Almaari..
Jiski keemat usne lagyi thi - 100 rupay ke sirf dus note.

Itni sasti to nahi hoti yaadien..
Hai na..??

Agle hi pal Mai aur Pooja Real Estate ke office ke liye nikale.
Pooja ne gusse me puchha - Are you sure.??
Aakhir ye tumhara hi Idea tha.

Maine kuch jawab ni dia, Aage ka safar Pooja ki Narajgi aur Khamoshi se gujra.

Kuch der baad mai aur Pooja, Real Estate agent ke daftar me aamne-saamne the.

ladka chai laaya.
Agent ne kaha - Ise le jao, Thanda lao. Sahab ko thande D'maag se sochne ki jarurat hai.

Maine Pooja ki taraf dekha, Wo jaan-bujhkar kisi Magazine ke panne palat rhi thi.
Itne gusse me thi ki meri taraf dekhna bhi nahi chahti thi.
Maine Agent se kaha - Mai, ye naya Ghar nahi lena chahta.

Agent ne kaha - Marji apki hai aur mujhe koi dusra customer bhi mil jayega.
Lekin ek baat bata du apko..
itne paiso me agar iss area me 3 BHK flat apko mil jaye to ye flat free me rakh lijiyega.

Maine kaha - Free me bhi nahi chahiye.
Agent ne apna sir pakad lia or bola - Suddenly aisa kya ho gaya..?? 2 din baad apke flat ka grih_Pravesh tha.

Maine kaha - Ghar bahot khubsurat hai. Bas, 7 feet ki meri ek Yaadon ki Almaari hai jo usme jaa nahi payegi.

Maine aaj ye Jaan liya hai ki uske bina mai Adhoora hu.

Agent ke office se bahar nikal kar maine ek call kia or kaha -
Papa mai bura hu.
Mai galat tha, Aap sahi the.
Meri zindagi sirf meri nahi hai, Uss par apka bhi haq hai.

Holi par ghar aa rha hu.
Apka Grand_son ab 4 saal ka ho gya hai.
Bahot kosish ki, Magar apki tarah usay kahani nahi suna paaya...

Iss tarah Almaari aur Mere Papa ke bich ke rishto ka faishla ho gya.


#writco #WritcoQuote #writcoapp #writer