...

8 views

Safar
Ghar se hi nikla tha ghar ki jimedari le kar
Ankho me anshu the magar chehre par muskan le kar
Mehent hi ab ghar sawar sakti thi, do waqt ki roti jo bhukh mita sakti thi
Nahi maloom kaha tak ka safar hoga, zindagi jab tak hai ghar se shayad juda rehna hoga
Maa-Baap ka pett bhar saku or khud ko bhi sawar sku
Bas yahi dua usse hoti hai
Raat ko ankho me nind nhi, ghar ki preshaniya hoti hai
Jo jimedari ka har pal ehsaas dilati hai
Ek ghar se door hoon, ek ghar basane ko
Kahi safar adhura naa reh jaaye mera Isliye maa ki dua saath laaya hoon
Mehnat hi ab safar ka saathi hai Jo khush rakhti hai magar ghar se door rakhti hai