...

6 views

Ek kitab📕
ek kitab kholi naam tha zindgi panne bohot the par laga jaise padhna jaruri
pehla panna jo khola bachpan ka saya aya najar , usi ke bare me char panne me aur padha jo tha sirf maa baap bhai behen ka pyar,
dusra panna jo khola bade hone ka ehsas aur mastiya behisaab, kuch pane ka khwab , manzil ki talash,
tisra panna jo khola shadi ki bedi me hath, kismat se mile huye sath,
choutha panna jo khola apne bachon ka pyar, sath chalne ka muqam, unko bada karke tayar karne ka kam,
pachva panna jo khola budhapa dekh kr sun pad gaya dil, itni achhi kismat ho to chahe jamana lakh bura bole ham bss jite chale jite chale,
akhri chata panna jo khola , bss kala rang najar aya, aise laga jaise achha saya bura ban gaya, lekin gam nahi tha kyu ki jivan ki reet yahi hai bol kr chal base the ham.
© khush.iiii