...

7 views

Sakoon-E-Qalb
Na Jane q AJ bethe bethe uski meethi awaz mere kanon mein ras gholne lagi uska wo kehna k...,
"Suno Jan mujhe gajray or Payal boht psnd hain,Main chahti hon hr bar ap mere lye ye tohfa layen, Gajray apne hathon se pehnayen pr payal main khud pehnon gi".
.
Usey Mard pairon mein ache nhi lgte the wo kehti thi...,
"Ap mera sakoon-e-qlb hain, Mere dil ki thandak,meri zindgi mein aye kisi Shehzade ki manind,main kese apko apne pairon mein bethne ki ijazat don".
.
Han wo ye jb kehti thi na...,
"Sunen Jan".
Main uski ankhon mein ai chamak dekh k kahin kho sa jata tha,usko bht der bs chup chap takta rehta k jese bre shehron mein kisi Shishe ki bani dukan ke bahar masoom bche ghanton darwaze se lag k dil ko achi lagne wali mehngi chezen takte hain na bilkul wese hi...main bhi usko takta rehta.
Uski ankhen har pal kch na kch bolti rehti thin, Jese main hi uska akhri jazira hon...
AJ main kehta hon...
"Suno Jan! Tum meri zindgi ka wo qeemti asasa ho jis ko khone k bad meri dunia ujar gai Siyah rang psnd tha na tum ko,Aao Dekho meri zindgi pe bhi wo rang Aa chuka h, ab to laut ao na".
Just thoughts....
© Haider