...

4 views

Love or respect ♥️
Kahate Hain ki log pyar mein haden paar kar dete Hain. Aksar log sacche pyar ke liye kuchh bhi kar jaate Hain, per fir bhi unhen saccha pyar nahin mil pata. Aaj ki story bhi ek aisi hi ladki ki hai ,jo Apne pyar ke liye sab kuchh kurban kar deti hai, dekhte hai use badle mein pyar milta hai ya nhi .Yeh story hai mithya ki.  Ek bahut hi pure hearted girl hai. Mithya kabhi kisi ko taklif mein nahin dekh paati hai. Per  uske koi dost nahin hai. Mithya ke man baap bhi Bachpan me hi Gujar gayethe. Bachpan se hi Akeli rahti aai hai. Mata pita na hone ki vajah se Bachpan se hi uske Masoom kandhon per jimmedaariyan a gai thi, is vajah se vah jyada padhaai nahin kar Pai, aur ek teaching ki job karke khud ka kharcha nikalti hai. Nitya ke sath Bachpan se hi itna kuchh hua per fir bhi usne kabhi Bhagwan se shikayat Tak nahin ki aur hamesha Khushi -khushi dusro ko hasaya . Nithya hamesha sabko hansane wali ladki rahi hai. Dusron ko hansate hansate kabhi usne Apne dukh kisi ke samne Tak nahin aane diye. Per Vidya ko uski life kuchh aise modper le jaati hai jisse uski jindagi Puri tarah se Badal jaati hai. Mithya ke chacha chachi jabardasti uski shaadi kisi Amir ladke se kara dete Hain, aur uske badle mein unse khoob Sara Paisa le lete Hain. Mithya ka pati samarth usse pyar nhi karta .vo use shadi ke pehle hi ye bata deta hai ki ,uski ek girlfriend jisse vo apni jan se jyada pyar karta tha ,vo ab is duniya mein nhi rhi .or vo nitya se kehta ki ki "mujhe  ye shadi dadi ke kehne par karni pad rhi hai"," please mujhse koi ummide mat rakhana " mithya uski bat man leti hai or kehti hai ki mujhe aapki sare bate manjoor hai.tabhib samarth  usse kehta hai ki hum 6 mahine bad alag ho jaenge koi bahana dekartaki dadi bhi hurt na ho.samarth ka bhi uski dadi ke alava koi nhi tha.vhi mithya usse kehti hai ki mujhe 6 mahine Tak job karne dena taki utne time mein mein apne lie kuch paise jod pau.samrth uski bate man leta hai.or undono ki shadi ho jati hai .shadi ke bad Kai dino  Tak Ghar mein rasme chalti rehti hai. Dadi ke chehre per Khushi dekhkar Samarth ko bhi bahut Khushi hoti hai. Kuchh dinon bad sari rasme khatm Ho jaati hai ,aur donon apne kam per jaane lagte Hain. Shaadi ke bad mitya ek nai job join karti hai. Jahan dhire dhire uski progress padati rahti hai aur vah use school ki vice principal ban jaati hai. Shaadi se pahle jo paiso ki problem aur taklifen use jhelani pad rahi thi vah ab use nahin jhel nahin jhelani pad rahi thi . Vah acchi khasi arning karne lagi thi. Vidya Bachpan se hi ek writer Banna chahti thi. PerMata pita ke na hone ke Karan usne apni sari khwahishon ko maar Diya tha. Uske chacha chachi bhi use bahut tang karte the. Uske chacha chachi usse hamesha naukaron wale kam karvate the ,aur usse bahut maarte bhi the. Isliye usne hamesha Apne sapnon ko khulne nahi diya aur hamesha apni khwahishon ko bandh Diya. Ab Nitya ko kuchh aasan najar a rahe the, use aisa lag raha tha ki aap Shayad vah writer ban sakti hai. Lagbhag ek do din bad jab mithya Pak fere ke liye Ghar jaati hai. To uski chachi usse bahut buri tarike se maar rahi hoti hai. Per vah yah chij sahan kar leti hai. Utani hi der mein Samarth mithya ko Lene a jata hai. Samarth uski Chachi Ko use maarte hue dekh leta hai aur unka hath pakad kar marod deta hai. Samarth ek bahut hi achcha insan hai vah kabhi kisi ladki ke sath kuchh galat hota hua nahin dekh Sakta. Aur Nitya ko Apne sath Apne Ghar wapas le jata hai. Nityav se kahati hai ki is ghatna ke bare mein dadi ko mat batana nahin to vah bewajah pareshan ho jayegi. Samarth usse kahta hai ki Tum pagal ho kya aisi chijen kaun sahta hai aajkal. Agar tumhare sath Aisa Ho Raha hai to tumhe gharelu hinsa  ki complaint karni chahie thi. mithya kahati hai ki ab ismein naya kya hai Bachpan se yah chijen sahti a rahi hunco. Vah Samarth se bhi is bare mein koi baat na karne ke liye kahati hai. Samarth vahan se chala jata hai, aur man mein sochta hai ki jab isko khud Ko hi nahin padi to main kyon socho uske bare mein. Or kuchh der bad Samarth office ke liye nikal jata hai. Uski kuchh files ke sath mithya ka later bhi uske sath chala jata hai. Jismein usne ek approach later likha tha ki use writing mein bahut interest hai aur vah bahut acchi writer Banna chahti hai. Isliye usne ek bahut acche aur bahut bade writer ko approach later likha tha. Samarth ko vah later milte hi vah apni approach se mitya ko ek content writer ki job dilva deta hai. Per vah mithiya ko kuch nhi batata, kyunki use pata hai ki mithya kabhi usse madad nahin legi  . Sochta hai ki yah bahut jyada hi khuddar ladki hai isliye kabhi meri help bilkul nahin lagi. Isliye Samarth use later ko post karke mithya Tak pahuncha deta hai. Mithya's letter ko dekh kar bahut jyada hi khush ho jaati hai aur apne sapnon ki duniya mein chale jaati hai. Uske pass yah ek bahut shandar mauka tha ek bahut acchi aur bahut badi writer banne ka. Vah bahut khush thi kyunki uska Bachpan ka Sapna pura hone wala tha. Dheere dheere time nikalte jata hai aur 2 mahine beet jaate Hain. Methi ki job bhi acchi chal rahi hoti aur Samarth bhi acche khase paise Kama Raha hota hai. Per unki life mein ek mod aata hai. Samarth ki dadi ki Achanak mrutyu Ho jaati hai. Samarth yah sadma sah nahin pata vah kuchh dinon tak vah ekadam chupchap rahata hai. Mitron says halat mein dekh nahin paati vah se bahut bolane ki baat karne ki koshish Karti hai per vah kuchh nahin bolata. Samarth bahut Dino Tak ekadam sahan jata hai. Ek koshish karti hai use bilkul normal karne ke liye. Jaise Jaise time nikalte jata hai Samarth fir se normal hota jata hai, halanki uske liye sadma bulana aasan nahin tha per mithya ki koshishon se yah sambhav Ho pa raha tha. Mithya aap Samarth ka bilkul vaise hi Dhyan rakhne lagi thi Jaise uski dadi uska Dhyan rakhti thi. Dadi ke jaane se sahmat Jo Akela ho gaya tha. Dheere dheere uska vah akelapan kam hone Laga or honesty ke sath Kam karne Laga. Kitne time saath rehte rehte  mithya or samarth ek dusre ke karib aane Lage the .un dono ko ek Sahara mil gya tha .Ab samarth bhi mithya ke sath khush rehne laga tha.per kuch hi time bad court ka notice vo mithya ke hath mein dekhakar voh dar gya .use laga ki shayad vo mithya ko kho dega.use mithya se pyar hone laga tha.mithya or samarth ke alag hone ki sachai mithya ki chachi ko pata chal gayi .or vo mithya ko apne sath le gai.mithya bhi unke sath chali gai .sham ko jab Samarth office se aaya hai to use ye pata chalta hai ki mithya uski chachi ke sath gyi hai.to vo usi vakt  Doda doda jata hai .vha Ghar pahuch kar vo dekhata hai ki mithya ki chachi ne use dande se itna mara ki uski halat bahot kharab ho gayi .Samarth use usi time hospital lekar Gaya .uska ilaaj ache se ho gya or use discharge bhi mil gya.par Samarth mithya se bahot jyada gussa tha ,usne mithya se kha ki " tu kyu gai thi vha ,agar tujhe kuch ho jata to" mithya ne kha ki mein aap par boj nhi banana chahti thi.vo usse kehti hai ki mein aapse pyar karne lagi hu.or is situation mein or kuch nhi kar sakti thi.mujhe pata tha ki aap mujhse kabhi pyar nhi karoge islie chupchap aapki  life se chali gai.tabhi samarth usse kehta hai ki tu pagl hai kya .mein bhi tujhse bahot pyar karta hu . Oe mujhe tujhse kyu pyar nhi hoga tere Siva mera hai hi koun ,tu jab jab meri care karti thi .mera dhyan rakhti thi ,mujhe tabse hi tu achi lagti hai .dadi ke Jane ke bad sirf tu hi to hai mere lie .tu jab jab mere paas aati thi ,mujhe acha lagta tha .or jab tu mujhe chodkar gai to mein bilkul Tut gya tha ,or samarth mithya se kehta hai ki " mein Puri life tujhe khush rakhunga, tere sare sapne pure karunga,kya tu hamesha ke lie meri life mein aaegi" or mithya ka jawaab ha hota hai ,or vo bhi usse kehti hai ki " mein bhi hamesha aapka sath dungi ,aapko kabhi akela nhi feel hone dungi ". Or is tarh dono Khushi - Kushi sari jindgi sath rehte hai.
© future writter✍️✍️ Neelam