...

2 views

Rang
Mujhe yakeen tha ki mujhme koi khaamiya nikalega zaroor,
Mujhe darr tha, mujhe hi kha jayega mera guroor.

Tumko Jo dekha hai to ye jana hai,
Har musafir ko bhatak jana hai.

Mujhme kitne aib hai maloom na kro,
Ye dekho tum kidhar se aye ho, or kha jana hai.

Mujhko to aadat hai muskurane ki,
Chidiyao ki trah cheh-chane ki.

Mujhko to aadat hai khaab ki taabir batane ki,
Jami hui barf me aag lgane ki.

Mai tasavvur kerta hu to ek chehra banta hai,
Fir mujhe shaqle dikhayi padti hai tamam zamane ki.

Or na mera rang gora tha, na saawla tha.
Mai to bs rango ko janne ke liye utawla tha.

Mai chahta tha ye pta chale,
Kis rang mai log nazar atey hai.

Kon sa rang ye chhupate hai,
Rang- birangi hai duniya.

Isliye mere chaaro jaanib girgit hi nazar atey hai.

Mai chahta tha mujhe sb pta chale.
Isliye ek ayina dikhaya logo ko.

Ek ayina khud ki nazar kiya,
Fir mai us traf chal pda jha se mera ghr dikhayi diya.





© ALBAB QUDDUSI POET