...

3 views

dhalti huyi shaam
aaj shaam tumhari tarah hai
kitni bhi koshish karu khudko rokhneki par baar baar dekh ne ka dil kar raha hai
aur dekhne k baad muskurahat kabhi rukhi hai bhala
dhalti hui pyaari si machalti hui aaj shaam tumhari tarah hai
kitni khubsurat hai tum bhi aur dhalti hui shaam bhi
jaise hi dhalti hui shaam ki taraf dekhta hu na
tumhe pukarne ka dil karta bht kuch kehne ka dil karta hai
tumhe pyaar se jee bhar k dekhne ka dil karta haikehte hai pyaar jism se kiya jata hai par mujhe tumhari rooh se mohabbat hai
tumhe choone me nahi tumse baatein karne ki hasrat hai
tumhare chehre se nahi tumhare adaaon se ibaadat hai
tumhare aankhein n hayee kya kahu unke baare me
aankhein nahi daryaa hai meeri khushiyo ka
ek nazar humari taraf dekh le toh humara din ban jaata hai tumhara muskurana hume jannat ki saair karvata hai


© safaredard