...

7 views

uljhan
ek bar milna chahti hu tumse ek bar bat karna chahti hu tumse.aj 7 sal ho gaye bichare sab kuch badal gaya tum bhi main bhi or humara rishta bhi par fir bhi na jane kyu kuch adhure sawalo ne paresan aj tak kar rakha hai.wo batein jo aj bhi dil me dastak deti hai.haan pata hai tumhe farak nahi parta in sab se par mera kya mera pyar to khel ni ta jhuta ni ta tumhare jaisa.aaj7sal bad bhi mai wahi khari hun apne sawalo ka jawab janane ke lie pata hai tumhe to ab yaad bhi nahi hogi mai.par mai to aage badh hi ni pati akhir jo khel tumne mere sath khela or kitno ke sath khela.mai jise siddhat wali mohabat samajhti ti use kyu khel bana dia.meri khamosi hi janti hai kitni ghutan hai andar aj tak tumhare wo antim lafz yad hai mujhe.or ye sawal bhi mere marne ke bad mere sath khatm ho jaegi.kyuki mai tum tak kabhi pahuchane ki kosis nahi karungi warna mai kamjor par jaungi.mai un purani bato ko ni dohraungi intejar karungi ki kisi din tum khud mujhe jawab do meri talash karo.pata hai mumkin nahi ye sab ab par kya mera pyar itna kam ta ki ek bar bhi meri yad ni aai.tum lakh kar lo inkar par yad rakhna tumhari ruh hi janti hai or allah ki mera pyar jhuta ta.or mai us din ka intejar karungi jab tumhe iska ilm ho.haan der bahut ho chuki ab koi fyda ni par un jawabo ko sun kar sayad meri ruh ko sukun milegi.