...

6 views

In her last life... She was at Rajasthan with Krishn
#CrossEra

Yaad he use ajj bhi Rajsthanki wo galiyan...
Wo awari ghumti thi janha bindhni ban Krishn ki...

Wo chudi sankha hath me chati tak,
Pehan kar jagti thi ratiyan...
Sun kar papihe ki taan,
Wo takti thi Raha Krishn ki
galiyon me dare akhiyan...

Panike liye chalti thi sau sau kosh dura,
Ret me chalti thi nange per par
padti na thi kabhi chaaliyan...

Puche Jo duniya uss se,
Bola karti thi wo duniya se,
Ye Govind ki he sab kahaniyan...
Har pag pag par prem barshata,
Nand ki Lalo Sang sang chalta...
Karu me ghunghat uss behrupiye se,
Chede raat ko bajake muraliya se...

Dekha he uss Kare Girdhari ko,
Pani me chaabi uski sunhara dikhi mujhko...
Utra Asmase dur najane kin galiyonse...
Suraj ki kirno se...
Dekhi me Pani me sari ujalonse...
Muskata huya dekhte dekhte,
Mile chamatkari samne khade...

Sudh budh me na kho dun,
Itni Sundar Sundar kaanti...
Jhatpat ankh band karli,
Chaldi me raha gharki...

Par wo piche piche chala,
Kisi aurko na dikhat Rahi...
Mange mose kabhi kabhi churaye rotiyan,
Jo me kaam me byast rahi...

Suraj ki taap na sataye mohe,
Iss liye badlonse chaon Kare,
Me Jo sochu muskil bahat he,
Gathri Meri jid se khud pakde...

Baat na uss se ek Kari...
Me itni babri mati Meri mari...
Ek dafa bhi Naam na pucho,
Kabhi Charnanki seva bhi na kiyo...
Phir bhi wo sath rahiyo...
Paap sari mujhko chadhayo,
Meri seva wo kariyo.

Ek din ethe nind thi lagi,
Yaad he mujhko me baans si thi bistar par padi...
Aya sahukar koi kar leneko,
Toh uth kar Nandalal gayo,
Bola me Khasam uski,
Mujhse bolo Kya chahiye thareko.
Abhi abhi sulaya hun,
Tabiyati dhili usko,
na uthe chahun hun awaz hole hole karo...

Bolo Jo wo Ghar khali karneko,
Sari jameen jayadad ki kagaj dikhawe usko,
Naam uss par likhti thi,
Banke Bihari Majhi...
Utha na pawego koi sarkari.
Aur Chala gaya wo bin bole Kuch bhi.

Me uthi toh dekhi kagaj sab Jo mej par thi,
Uss par ek bahat bhari Soneki
Basuri rakhi thi...
Heran rahi me age piche dekhi,
Mehek rahi thi Ghar baar Tulsi chandan si...

Laga mahreko koi sapna tha,
Kitna pyaro wo mera apna tha...

Ek din Mann najane ki ayi,
Ek dibar par Krishna ki jhanki aanki...

Ajj ayi hun sau barshon baad iss gali phirse,
jese neh ki dori Krishn ki ho khinche...
Wo dibar wesiki wesi he ajj bhi...
Dekh kar yaad ayi baat sabhi,
Heran ho Raha Mann kese na hui koi paribartan...
Duniya badal gayi,
Wakt chali gayi,
Par ajj bhi jese uss kone kone me,
Hai basi Mohan aur Mahri dhadkan...

Oo Bihari,
Kithe gaye tum,
Paap chadhake... phirse paas bulake,
Mujhko mujhse churake,
Honeki apni ehesas dilake,
Abb kis Karan,
Ho dur mujhse,
Abb kounsi kaam,
Mujhe thare Jagse...
Rone lagi wo Bali hari,
Chu kar murat ko uss dibar me Krishnki...

Aye murari utarke chabise murat satya banke...
Janmastami ki bela,
Sundar sundar nav se... giri barmala...
Sa Sharir chali Meera sang Mohanke...

( No no it's not a story... It's a thoughtful poem... No no... It's called Manifesting... Well they say it works...
If anything one have to ever Manifest in life...
Could it be ever better than you???...
No no You don't answer...
Just come and make it True for your lovers one by one... Krishn )

© RM