...

7 views

Rishte
Kuch rishte dil ke hotay hain. Unko jatana nahi parta wo sirf mehsoos kiyay ja sakte hain. Un rishton ke liyay tohfe ya baatain maine nahi rakhti unke liyay sirf ehsaas hi kaafi hota hai.

Wo kisi majboori si nahi bane hotay, khud garz nahi hotay aur na hi waqt ki qaid me hotay hain. Wo to bus khud hi bina kisi maqsad ke ban jaatay hain. Unki maujoodgi ke liyay kisi insaan ya cheez ki zaroorat nahi hoti.

Wo aik ehsaas hai jo kahin bhi, kabhi bhi, kisi bhi insaan, cheez ya jazbe se ho sakta hai. Jese mussanif ka apni qalam se, shair ka apne dard se, maa ka apne jism mein palne wali aulaad se ho jaata hai jisse usne dekha bhi nahi hota. Bus uska ehsaas hona hi kaafi hota hai.

Ye dard ke rishte hote hain ehsaas ke ho sakte hain magar inka koi naam ya maqsad nahi hota aur kyunke ye planning ke bagair bante hain isiliyay inko koi tor nahi sakta jub tak hum khud na chahein.

Ye behadh pyaaray rishte hotay hain. Bus unko mehsoos karne ki zaroorat hai. Aik baar jo ye mil jain to kisi aur rishte ki zaroorat mehsoos nahi hoti. Koi aur na bhi ho tab bhi ye humaray saath aur paas hotay hain. Kuch rishte aise hotay hain
© Sakina