...

4 views

adhuri kahani
"kya hua Rupa...
koi awaj nhi ayi, Maine fir se awaj di.. kya hua btao gi..
Rupa ne bade anmane dhang se jawab diya..." kuchh nhi hua.. aur fir kuchh budbuda kr boli "hoga bhi kya, tum to apne mrji k Malik ho.. kiski majal Jo koi kuchh bol de...

Mujhe samjh aa gya ki Aaj Mausam me bahut jada garmi hai..
agr Maine thandi hawa ke jhonke nhi chalye to aag ki barish kabhi bhi ho skti hai .

are meri Jaan tum bahut jaldi gussa ho jati ho.. tumko upar wale ne itne pyar se banaya aur tumko ho ki is pyare se chahre pr hr wqt naak pr gussa liye baithi rahti ho..

mskhari Mt kro...bs tum yahi sb bol kr mujhe bewakuf banate rahte ho. jb dekho apna shayrana andaj le kr lg jate ho mujhe rijhane..
itna bhi nhi sochte ki is tarah roj dawa bhulna tumhare liye bilkul bhi achha nhi hai.. ab to doctor ko bhi dikhane se ana kani krte ho.. tum kyu nhi samjhte ki ..sirf hm dono hain ek dusre k liye. koi aur nhi baitha hai yahan pr tumhara ya mera khayal rakhne k liye. bachhon k sukh se to pahle hi bhgwan ne door rakkha hai mujhe aur ab......

vo ruk gyi.. thithak si gyi achanak uska gussa udasi me aur udasi chinta me badal gyi.. Jin ankho me kuchh der pahle gusse ki lali thi unme jaise ansuon ka sailab utar aya ho..

Vijay..... mujhe bhi le chalo na sath.. Mai akele tumhare Bina kaise jiyungi..mujhe malum hai..... itna kah kr ruk gyi....

han tumko malum hai ki Mai dawa jaan kr nhi khata.. bahut mahngi dawa hai.. isilye jhuth bolta hun... yahi na bs lo Jo tumko kahna tha vo Maine khud ko bol diya khush. kaho to khud ko thappad bhi lga dun..

achanak Rupa Vijay ko pakd kr zor se liptgyi aur Vijay k kandho ko apne ansuvo se bhigone lagi...

Vijay ne bhi usko apni banho me bhinch liya aur ks kr gale lga liya..
Rupa tumko yaad hai jb ham pahli bar mile the.. Vijay apni line badalte hue bola vaise gussa abhi bhi barkrar hai tumhara.. tum bilkul nahin Badli.. tumhare tevar abhi bhi Lal mirchi Jaise Hain..
Vijay Rupa ke sath Thitholi kar raha tha aur Rupa sab kuchh ansuna karte hue Vijay ke kandhon se aur jor se lipatti Chali ja rahi thi..
Vijay ko cancer tha aur yah baat Vijay aur Rupa donon bahut acche se jante the ki bus kuchh din bad sirf Rupa ke pass Vijay ki yaden hongi aur Vijay yahi kahin sab kuchh chhodkar atma leen ho chuka hoga..
kuchh kahaniyan aisi hoti hain jinka ant na hi Ho to hi achcha hota hai unhen adhura chhod dena hi Shayad unko pura karne jaisa hai.. yah kahani bahut adhuri hai lekin is kahani Ko pura karne ke liye Shayad aise yahin per rok Dena hi achcha hai Shayad Vijay ko aur jindagi aur Rupa ko Vijay ka aur sath mil sake...


© aham bramhasmi