...

10 views

Saza...
Apne ne Andheri raato ke khisse bohat sune honge to aaj unhi khisso khanaiyo mein ek aur kahani jod rahi hu .
Baat hai ek Rampur gao ki jaha log Zindagi to thi bus guzar rahe the Kisi ko usse zine ki khwahish nhi bachi thi . Shaam Ka soraj dhalte hi aesa Lagta jese Kisi zehar Ka asar failne wala ho aur Sara gao us se bachne ke liye Apne Apne gharo ke darwaze ke andar kaid ho gaya ho . Aaj 3 Saal ho Gaye the is Baat ko aur Chand logo ke ki gai Galti ki saza pure gao ko mil rahi thi jese Kisi ki Galti aaj pure gao ko moat ke kuye mein dhakel ne ja rhi ho.Achanak aesa kya hua ki is gai ki halat bad se batar ho gai hai isko samnjhne se pehle apko is gao Ka itehaas Jana zaruri hai . Rampur gao 3 Saal pehle ek acchi khasi bhhari abadi wala gao hua krta tha .Yaha teen chothai (3/4) log kheti badi aur anaj ke veypar se apna guzar basar krte the. Padhao se Jude is gao mein khubsuriti har taraf nazar aati thi . Gao Ka Jo ek chothai (1/4) logo Ka hissa tha woh samaji kaamo mein , padhai aur vigiyan ki cheezo mein jyada waqt Diya krte the ki kese gao mein bacho ko acchi shiksha Di jaye, sadke acchi banaye , kese kisano ki fasal ko acche se accha daam mile.. kyun ki yeh padhai ilaka tha to tourist Ka ana Jana laga rehta tha unke liye waha Kai gest houses aur cottage Ka bhi intezaam kiya Gaya tha . Sab Kuch Accha ja Raha tha is gao mein bus ek wahi baat thi si gao ki Jo logo ko ko sochne pe mazboor kr deti thi aur unki pareshani ka sabab banti thi....
To be continued.....
© Z@in@b~