9 Reads
Maine roze si ibadat nahi dekhi,
nafs ki is darja gurbat nahi dekhi,
qareeb itna pani ke shehar doob jaye
katre bhar peene ki hasrat nahi dekhi
ho to sakta hai sab sahi ab bhi Pata hai,
kuch roz se maine khud mai shiddat nahi dekhi
hamein kya zarurat jo ab soche zara bhi
jab tumhi ne waqt par halat nahi dekhi
hun bhot hasaas aur bhot takleef mai,
humdum tumne abhi himmt nahi dekhi
dard bikta to bech aate kahin door bhot door
paas ke bazaaro mai to humne koi qeemat nahi dekhi
bhot chhoti si duniya ka musavir hu mai apni
Maine khud main kabhi rangon ki chahat nahi dekhi
ye jo bech rahe hain rishte bazaar mai log
Maine is se badtar rishto ki tijarat nahi dekhi
Log badlen hain is darja yahan ke afsos nahi
Maine aise badlen hue logo ki phir surat nahi dekhi
Tum jo a jaate ho sunne har roz yahan sarim ko
Lagta ho jaise tumne kabhi haqeeqat nahi dekhi