...

9 Reads

IshQ Beintehaa

Kabhi tha IshQ Beintehaa
Aaj sirf ye Ek Alfaaz hai

Yaadein hai yaadon mein
uljhi Beshumar
Daastan ~e~ IshQ hai

kuch khwaab adhuere
Kuch khwaishein adhuri
Aur kissein ye purane hai

Armaano ki saari hashti
Hai Dil me Dafn

Dekhkr aankhe nam
Meri rooh bhi mujhse
puchti hai btao
shama kaisi ye kahani hai ?

Kabhi tha IshQ Beintehaa
Aaj mahez sirf ye ek
Alfaaz hai

Kaise ho tum ?
kaisi hun mai ?

kuch khaya tumne ?
kyu ab tak naa kuch
khaya tumne ?

khyaal rakho tum apna
kyunki tum hee meri
sabkuch ho

Fikr, zikr, mohabbat
aur khushi
ka mitt hee gya wajood

Jab paya khud ko
uske rubaru
Uske raiwaiye hee ho
maghroor

IshQ ke do bol hee
Bol kar shatranz ka
khel khel rha tha wo

Samne mai thi
Aur mujhse door
jane ki har mumkin koshish
kar rha tha wo

Ishq mohabbat aur waar
sab kar dala usne
Hayee Shama
ye kya kar dala usne

kabhi tha ishQ Beintehaa
Aaj mahez sirf Ek Alfaaz hai

Shatranj ke sari chale
chli usne
Baaz~e~ Fateh bhi Hasil
kar dali usne

Lafz wo sare jhuthe uske
Aaj mujhe kaaton se chubhte hai

Tumhari saari kamyabi
Sukoon de tumhe

Mere sukoon ke liye
Sirf itna hee kaafi hai
ke Mera khuda mere
saath hai ~.


#dastaaneishQ