...

10 Reads

Toufan nakaami ka aary ata hai zarur
dair sahi, hunar apna loha manwata hai zarur

jab apne dill pe parti hai na zarb
phir kisi ka tarapna yaad ata hai zarur

aaj ka mohsin lakh aajizi dikhaye
dill hi dill mai itrata hai
zarur

mosami parinde se ab kya shikayat
badalte hi mosam chala jata hai
zarur

waqt se pehle na waqt ke baad, admi,
qismat ka likha waqt pe pata hai
zarur

kisi ko bura kuch kaha na karo Emaan
apna kaha hua khud pe aata hai
zarur...

Emaan Shehzad

#urdupoetry