7 Reads
Gosh e tasawwur hai mann
kalam-e-wasl gungunane mein..
dill hua fareeftah magar aseer hai tareeki-e-qaidkhane mein..
waqt hi kyu nikla gunehgaar
sab ki kahanion mein ?..
lamha bhi kab lagta hai pani
ka sar se guzar jane mein...
kabhi sochti hun in baharon se
dosti kar lun
phir khyal ata hai dair nhi lgti
hai khazaan ane mein...
har mor pe badalta hai Aadmi
rang kese kese
kainvas e musawwir ko kamaal
hai jane kitne rang banane mein...
tajurba e zindgi k bare mein
puchte ho kya kya
kaha to hai acha hi hoga kisi
khayal purane mein...
Emaan Shehzad
#poetsofinstagram #urdupoetry