8 Reads
INSAN :-
ba'ad ghor-o-fikr ke zer-e-behas
ye unwaan hua
ba sha'oor ho kr bhi kyu kar insan
nadaan hua ?
be waqt goya hua, ba-waqt-e-zarurat
chup sadhi
saleeqa-e- guftagoo nhi aur kehne ko
ahl-e-zubaan hua
apni khamion ko kabhi khatir mein
nah laya
auron pe tanqeed karna us ke liye
asaan hua
jab la-ilaaj hua jism bemariyon se
Choor ho kar
tab mahireen ka markaz-e-mozu
"nafs-e-insan" hua
ashraf-ul-makhlooqat ho kr bhi hua
bhalai ka munkir
halat-e-insaan dekh kr shaitaan bhi
hairaan hua
Emaan Shehzad
#poetry #urdupoetry