...

4 views

yeh duniya
mere saamne mujh jaise
tere saamne tujh jaise
kyun baat karti hai yeh duniya

paisa kaamao toh pair pakad thi hai
agar na kaamao toh tang keench thi hai
akhir aisa kyun karti hai yeh duniya

haas kar baat karne walon ko achha
dhat kar samjhane walon ko burah
kyun samajh thi hai yeh duniya

ameeron ki galti chupa kar
gareebon ki galti dekha kar
anyay kyun karti hai yeh duniya

zyada baat na karne wala pagal
aur baat karne wala hoshiyar
iss fareb mein kyun jeeti hai yeh duniya

sharifon ko dekh mazak udathi hai
bemaano ko dekh kitna gabrati hai
iss adharm ki raah par kyun chali jati hai yeh duniya

© princess