...

1 views

Gupt Shatru

शुर धुल से घुले मिले हैं
तभी तो रण में डटे पड़े हैं;
हुंकारों से शत्रु घीघ बने पड़े है,
Na jaane humare peeche tankar khade hain
Subah shyaam humari rooh main jhankte hain
Din aur Raat bhar yudh chalta rehta hain
Na jaane koi mujhe chain se na sone ke liye khud ki need kharab karta hain
Ghar choda diya
Dil tod diya
Daant tod diya
Sar phod diya
Chamdi ko kharoch diya
Aatma ko nichod diya
Sharir ko marod diya
Aanath kar diya
Shatru yudh kar raha hain
par pata nahin kyu lad raha hain
Main apni azaadi ki ladai ke liye lad rahin hoon
woh na jaane kyu peeche pada hua hain
Array kahe ko yudh karte hoon jo bhi aake kyu nahin bakte hoon
Ek din sab reh rah jeeyegaa dhara
Bhar jaayega tere paap ka ghada
koi bhi kuch upar lekar nahin gaya


Jab main hassugi tu royegaa
Zindagi bhar main logoo ko hasati rahi, dusaro ke chehre pe muskan laati rahi
Tune toh mujhe itna rolaya, mere chehre ki muskaan ke saath mere daant bhi cheen liye taaki main hass na sako
jab jab udaan bharni chaho tune mere par kat diye
bhaag na sako mere pair tod diye
acche sapne na dekh sako need cheen li
Array kis baat ka itna badla le rahe hoon
jo bhi hain khulkar kyu nahin keh rahe hoon
Insaan hokar jaanwar jaise kyu behave kar rahe hoon
kahe ko kutte bili ki tarah lad rahe hoon.

kisi ka bhagya cheene se tumhare ghar laxmi nahin aati
Kisi ke chehre se muskaan cheene se khud ke chehre par muskaan nahin aati
kisi ki khoobsurati cheene se tum khoobsurat nahin ho jaayoge
yeh baat tumhare samajh main koi nahin aati
Dusuro se jalne se ya dabane se tum upar nahin uth payooge
Mard ki aulaad hain toh saamne aakar yudh kar
Peeth peeche vaar kyu karta hain aur apne aap ko sher kehta hain
peeth peeche vaar karne wale mard nahin na mard hote hain
Woh sher nahin Gidad hote hain

Dusaro ke dukh main hameshaa saath rahi
par mere dukh main mere pass koi nahin tha
Mujhko har taraf se akela kar diya
Main dusaro ko kush karne main khushi dhoonti thi
par mujhe har taraf se dukhi kar diya
Main hameshaa dusoro ki himant deti rahi, upar uthati rahi
Na jaane mujhe neeche girate rahe
keede makodo ki tarah mujhe raing diya
Na jaane yeh zindagi kya paath padagayi
logoo se vishwas uthagayi
paise aur shakti paane ke liye kuch bhi kar jaate hain
upar uthne ke liye itna neeche gir jaata hain
Naam shaurat paane ke liye, dusoro ka naam o nishan mita dete hain
Apno ko hi maar deta hain
Insaaiyat ki khatam ho gayi hain
Dusaro ki aur unki khushiyo ki bali chada deta hain

Lalacch, Irsha, krodh, mooh, kaam, ghamad
yeh insaan ke Gupt shatru hain, Ander ke shatru ko khatam kar, insaan bankar aaya hain, hawaiin mat ban
Mann main koi baat hain, khulke baat kar,
yu kisi ko sapno se pareshaan mat kar,
Apni shaktio ka gumaan mat kar
Kisi ki baduaa mat le , shaitaan mat ban,Insaan ban
Bada mazaa aata hain.kisi ko tang karne main
Wohi mazaa bhagwan tujhe sikhayaga jab tera sharir tadpegaa
uparwala mazaa chikyagaa
Apna bhi Time aayegaa


© Geetika Gupta