...

10 views

Tu Aya To Tha.....

Tu aya to tha meri zindagi main, lekin meri zindagi na ban saka..
Kyonki tu wakif tha mohobbat se, lekin tuze wafa nhi thi pata..
Tu aya to meri sapano main, lekin sapana nhi ban saka..
Kyoki tuze sath thi malum, sath nibhana nhi tha pata..
Maine chaha tuze dil se tu Pahchan nhi saka, kyoki maine har pal tera jikr kiya, tu meri fikr na kr saka..
Maine tuze har pal yad kiya, tu mehsoos kr na saka..
Kyonki tu adat thi meri sahara nhi ban saka...
Muje laga tu mera pyar hain, isliye sath tha..
Tu to har ek ke dil ka mohtaj tha..
Maine manga tuze rab se, etana tu khas tha
Rad ne bhi inkar kiya, tu to nihayati bakwas tha...
Din aise bhi gujare ki ankho se panini behata tha.. Teri awaz se dil mera Dhadakta tha..
Ab dilne bhi koshish chod di tuze apanane ki.. Kyoki teri har yad usakeliye ghav tha..
Muze teri zindagi nhi chahiye thi..
Tuze zindagi banana tha..
Kyoki tune har pal mera sath etani khubise jo nibhaya tha..
Acha hua ki tu meri zindagi main aya,
Varana DHOKE ka asali matalab muze kaha Pata tha....
Created by Anuradha..
© All Rights Reserved