...

18 views

Virangna..... .

Atithi ka pahen chhal,
Apna hame kha,
agle hi pal badle,
loota hmara jaha,

Atithi devo bhao,
Dil me reet thi yha,
Ghum chuki thi jo,
Na jaane ab kahaan,

Dil me thi aag ,
bhi jal rhi kaha,
Beh rhi aankhe,
Murjhaya sa chehra yha,

Cheekhta pukarta,
har kona ab yha,
Aazadi ki is jung me,
Manjil bhi hai kha,

Wakt tha yehi vo,
Janmi thi vo yha,
Andhkar me chingaari si,
Ban chamki thi vo yha,

Gulaami ke is daur me,
Aankhe thi nam jaha,
Chal rhi thi chaal vo,
Shatru daman ki ab yha,

Bhagya ne jo apni,
karvat bdlni chahi thi,
Wakt ne bhi uski,
chaturai dikhlai thi,

Ab tak jo raah thi ,
dhundhli thodi yha,
chhatt rhi jaise,
ambar chhata yha

kaal ne bhi apni,
kya chaal chali thi,
choti si umr me,
Bandhan se Judi thi,

Veerta ki vo misaal,
Karuna se thi mahan,
Jal rhi thi svayam me,
Apno ka dekh haal,

Ab tak thi na jo kuch,
Raani thi ab bani,
Khaali the haanth jo,
takat unhe mili,

Risto ke chakrvyuh me,
Bandhan se thi bandhi ,
Par svapn ab bhi vo,
Aazadi ke thi bunti,

Prasann chit sa sab,
pratit ho rho,
Durachar se hat kr bhi,
Kuch nasib ho rha,
Jhum uta tha rajya bhi,
Sabkuch tha khil rha,
Rajya ki raani ko,
Jo matritva mil rha,

Shran bhar ki thi kushi,
kisko tha ye pta,
Kaal ne ho badli,
Jaise bhagya ki dasha,

Chhal gyi thi lakeerien,
rani ke haantho se,
Ho gye the safal shatru,
Apne prayaso se ,

Ek pal me bikhra tha ,
Sansar rani ka,
Mamtamayi maa se,
Uska putr tha chhina,

Vilin shoke me thi ,
hoti bhi kya dasha,
Har pal jal rhi thi ,
phir bhi , manzil hi rja,

Ye bhagya hi jaane,
kyu morh aise ghere,
Jo preet thi himmat,
Uski mitt rhi lakeerien,

sitaro se bhari kabhi,
vo maang lakti sooni ,
shringar se nhi vo,
Jaise khud se hi ho rooti,

Ashru se purn thi vo,
Jhansi bhi ab viran,
Loot chuka tha sab,
Par ab bhi tha abhimaan,

Pal pal jo badh rhi,
pidha na ab rhi,
Nayeno me vedna se,
jwala bhadak rhi,

Kaanto bhari thi raah,
Manzil bhi lapata,
Par wakt aa gya ab,
Mitne ya mitane ka,

Dekh na tha muskil ab,
Cheekh thi pukaar me,
Aazadi ke sangharsh me,
Logo ko un halat me,

Bhar chuka tha ghat bhi,
paapi ke atyachaar se,
Chuta chuka tha sabr bhi,
Ab uski talvaar se,

Badh chuki thi ab,
antim padhao tha,
Satranj ke is khel me ,
ab yudh daao tha,

Chookar aasma ko,
Talvaar jo kheechi,
Ran bhumi me jaise ,
bijli si ja giri,

Kapa gagan, dhara hili ,
Hoonkaar se jiski,
Har vyuh ko bhed badhti,
Ban kaal shatru ki,

Samajhna tha ye muskil,
Nari hai ya kaali,
Shatru daman chali,
Vo rakt pyas bujhaati,

Hai wakt kyu aisa,
har pal ye badalta,
kabhi saath saath chalta,
pr chhal bhi ye krta,

Chal rha ye wakt,
haantho se tha fisla ,
Shatru ne ek baar phir,
Rani ko tha chhala,

Ran bhumi ki dasha,
phir se palat gyi,
Chhali gyi virangna,
jami pe gir padhi,

Lakshmi thi vo kaali thi,
veerta se vaibhav saali thi,
Antim charan jeevan ka,
ab veergati pani thi,

Antim vida le vo ,
Chirkaal so gyi,
Agni ki vedi se ,
dhara me mil gyi ......... .