...

5 views

Mijaaz
Ye main jo khud ko thoda alag samajhta hu.
Isliye apna raaz apne tak hi rakhta hu.

Mera mizaaj kisi se milta nahi.
Yu hi nhi har kisi se sunta hu.

Bagair mere to tamam kam ho sakte hai.
Fir mai hi har jgah kyu ghusta hu.

Mujhe milne wali hai badghumani koi
Ye bat mai aj likhta hu.

Btado hunarbaazo abki bar kya kramat dikhaoge
Kyuki is bar mai bhi Jung chun sakta hu.

khoob hai mohalle mai mere charche
Is bat par mai bhi charcha ker sakta hu.

Or mujhe maloom hai kisi khat mai meri khaamiya likhi hai
Kya usko bhi mai buland awaz pad sakta hu.




© ALBAB QUDDUSI POET