...

1 views

Holi
Lal Rang hain pyaar ka ,Izhaar ka,dulhan ka, aur Takraar ka,josh ka,Icchao ka,kuch karke dekhane ka,shaurya ka

Peela Rang hain Khushiyo ko ka,Umang ka,aashyon ka,Ullhas ka,wafadari ka,parivartan ka,parivaar ka,shorhat ka

Hara Rang hain umeed ka, Hariyali ka,Taazagi ka,Saflata ka,Aagey badne ka,kuch seekhne ka,Aaroygata ka,dhan ka

Neela Rang hain Aasman ka, samundra ka ,paani ka aur gehrai ka,Sthirta ka,Vishwas ka,samjhdari ka

Kesar Rang hain shaan ka ,Abhiman ka, Aatamvishwas ka,jeet ka,Lagan ka,Himmat ka,Andhorni shakti ka,

Gulabi Rang hain Sundarta ka, Dosti ka,Bhavanyo ka,Mithas ka,

Baigani Rang hain Adhyatmita ka,Bhakti ka,kalpanyo ka,sapno ka,Drishti ka,Gyaan ka,

Safeed Rang hain Shaanti ka, pavitrata ka,swacchata ka,Roshni ka,Acchai ka,saadgi ka,santo ka,pariyo ka

Har Rang aapke jeevan main laaye bahar
Aapko rangon ka Tohar Holi ki shubhkamanye..


© Geetika Gupta