...

6 views

Desh ka Jawan 🇮🇳
Laal rang pyaar ka
To wahi baat khoon ki hai
Isqh sabhi karte hai
Lekin yaha baat junun ki hai
Dil sirf hamara nahi uska bhi dhadakta hai
Dur apno se rehkar wo bhi milne ko tadapta hai
Gulab dekar pyaar jatana ye aam baat hai saheb , tirange me lipat kar jo pyaar jataye
Wo hamare desh ka jawan hai.
Paise sirf tumhari nahi unki bhi zarurat hai
Lalach,dhagi ,nafrat uski na ye surat hai.
Har roz apni maa ke pair chune ko uska bhi dil chahta hai,
Tasveero mein yaade bator kar wo chupke se aasu bahata hai
Khuddaar ki Zindagi jeena hamara bas yahi kaam hai
Karz me hai iske ,wo hamare desh ka Jawan hai.

Aanth me yahi kahunga ki
Gehre gaadhe rang se likhi gayi thi iss desh ki aazadi or har roz ye rang or bhi zada gehra hota jata hai jaha desh ke veer ne laga di apni jaan ki baazi.

© Feel_the_words