...

11 views

Jo Main Badalne Laga Hoon
sun..
baat sach hai..
thoda badalne laga hoon..

apni khushiyo ko teri hasi se jodkar...
teri uss afreen hasi pe marne laga hoon..
pyaar karna agar badlna hota hai..
to thoda sa badalne laga hoon...

tere liye khud ko sambhaalta hoon...
tere liye tujhse hi ladne laga hoon...
ab agar fikr karna bhi badalna hota hai...
to haan thoda badalne laga hoon..

ab kisi bhi baat pe rone ki bajaye..
tujhe samjhaane laga hoon...
tujhse rota naa dekh sakna agar badlna hota hai...
to haan thoda badalne laga hoon...

sun..
baat sach hai..
thoda badalne laga hoon..

ab logo se thoda door hokar...
khud par bhi dhyaan dene laga hoon..
teri hi kahi baato ko maanna agar badlna hota hai...
to haan thoda badalne laga hoon...

jo ab andhere se nikal kar...
ter saath yaadein banane ki koshish mein laga hoon...
waqt tere liye nikalna agar badlna hota hai...
to haan thoda badalne laga hoon...

jo beech ki dooriyaan mita kar..
thoda tujhpe qaabiz ho rha hoon...
agar apni jaan ko apna kahna badalna hota hai...
to thoda sa badalne laga hoon...

sun na..
baat ye bhi sach hi hai..
ki haan na jaana thoda badalne laga hoon..


© ZenEl