...

21 views

Mard ko dard nahi hota
"Mard ko dard nahi hota....
ye aaj ka slogan hai..
ye cool status hai..
yahi wats app pe chalta hai..
aur log bhi yahi mante hai..
mard ki paribhasha hai ki use kuch nahi hota
na wo darr sakta hai
na wo bhag sakta hai
na wo ro sakta hai
na emotion dikha sakta hai..
lekin Harr baat ke liye wo jimmedar ho sakta hai..
Suraj,Chand,taare aasman me ek ho sakte hai
lekin mard ko sirf dhup he dikha sakte hai..
use dhup he milti hai..
Roz ki kashma kash aurat aur admi ke liye ek samman hai..
lekin aaj chaurahe par mard ka sina katata hai..
kutta kamina aise naam diye gaye hai..
lekin balwan bankar bhar sambhalne wohi aaya hai..
chahe chunauti ho ya jimmedari
nibhaya to mard ne bhi hai..
dhup kato se bhari hai zindagi,
paigam usne bhi pohochaye hai..
Dilme hazaro baate le ghumta hai
aakhir baap bankar wohi ghar ka paydan banta hai..
khudke sapno ke sath wo bhi samjaota karta hai..
lekin phir bhi kehte hai ki mard ko dard nahi hota..
mard hone ki shart koi nahi aur hai to sirf yahi ki wo saccha ho..
aakhir mard ko bhi dard hota hai.."