...

12 views

Falsafa
Afsane me likhta nai hu, gaero ko dikhta nai hu,
Vo puche me kitna sahi hu, afsos me ab-bhi wahi hu


Makhsus ye meri jagha, zalim-e dil hai teri vajha
Ab tu hi-bata kya teri raza, ese jeene me kya maza.


Mile hum iss kadar in halaton me, roka humne khudko na beh jaye jazbato me.
Dhire dhire baaton me, un lambi sard raaton me
Iss kadar uljhe hum apne aap me, ab aas thi sirf mulakato me.

Teri bheegi vo zulfe, tere vo khule baal
Aaj bhi yaad krta hu to ho jata hai bura haal
Saanso ko tham ke, likhe mene kai sawal
Jawab mile na mile, tumhari baatein hai Kamal.

Jana mene tumhe, hai jabse,
Izzat badh gayi hai tumhari Tabse,
Iss daudti zinagdi me thhe-re huye ho ,kabse?
Jo chahe vo mile tumhe, mangu me ye rab-se.

Mana zindagi me, dukh kam nai,
Par vo zindagi hi kya , jisme gum nai..
Mushkile assan ho jaye , to rah dikh jati hai,
Dil fir bhi hai hairan, manzil milte hai, silwate mitt jati hai.


Alfaz hi nai hai, jo tol sake tera daam,
Dil se uthi cheekh, sirf pukara tera naam
Iss kashmakash me hu, kya rakhu tujhpe inam?
Jabse mila hu khoya hai hosh Bina piye koi jaam....


Muskurahaton pr chalti hai zindagi,
Verna izz zamane me kon Kare Bandagi,
Teri ruuh ko yuhi rakhna saaf mere dost,
Kyuki bhar zamane meTodd dete krke Dillagi.


Kal kisne dekha hai, jeele aaj sahi,
Kal hum ho na ho, fir milenge kahi,
Kissi duur desh, jab jana hi hai sabko wahi,
Fir kyu rooke dil ko, Ye bhi to sahi Nahi...



© Madhusudan