...

28 views

Soldier Diary.............
Har katra katra khoon ke desh pe hai kurbaan
Infantry ke veer hain
hum Naaz-e-Hindustan
Infantry ke jawan, hum Infantry ke Jawan
Chalte hain seena taan ke, hamare honsale hai chattan
Inn kadmon mei aandhi paley, hai muthhi mai toofan
Sher-e-jigar faulad hain, hum Hind ki hain santaan
Kadmon ke taley rondh chalein dushman ka abhiman
Infantry ke jawan, hum Infantry ke Jawan
Paltan se pehchan hai, paltan hai hamari shaan
Jeetay hain nibhane ke liye hum
Naam, Namak aur Nishan
Hum Naam, Namak aur Nishan
Karm humare dharm hai, aur deen hai desh ki aan
Har saans hamari watan se rawan, hai nass nass mai balidan
Infantry ke jawan, hum Infantry ke Jawan
Jab jab dushman ki nazar uthi
Tuji jab rann mei nagad
Khade rakshak ban ke dhaal teri
Ma sunn ke teri pukar
Ma sunn ke teri pukar.............
Jai Ma kali aayo Gorkhali
Veer Madrasi Adi kollu , Adi kollu
Jai Ma Bhawani
Jo Bole So Nihal Sat Sri A Kal
Kshann kshann kann kann rann bhumi ka karta hai gaurav gaan
Nischay kar apni jeet karun
Ma dena ya vardaan
Att hi rann mei tabh joonjh marun
Jab aav ki audh ho nidhan
Kat jaye bhaley mera sheesh O Ma
Na jhuke tera samman
Rahey Bharat desh mahan, mera Bharat desh mahan
Har katra katra khoon ke desh pe hai kurbaan
Infantry ke veer hain
hum Naaz-e-Hindustan
Infantry ke jawan, hum Infantry ke Jawan
hum Infantry ke Jawan............!!