...

2 views

Chahatein

Chahatein to sabko hoti hai
Kisiki ek hai to kisiki anek
Chahat kisiki bhi ho
Koi bhi ho
Lekin mujhe usse kya
Meri to ek hi hai na
Tum hi to ho
Meri iklauti Chahat
Lekin naa jaane kyu
Wo bhi abb puri na ho ri
Sochti hu puri karne ki
To hamesha kuch na kuch anban hi aa jaati hai
Na tumko baat karne ka wakt
Na mujhe khud pe lutane ke liye wakt
Abb to kuch bhi meri samajh me naa aaye
Ki meri Chahat kya hai
Mujhko kya hi kuch bhaaye
Kyuki mera dil bas tumko hi chaahe

Khushi Prajapati
@khushiiii_prajapati


© Khushi Prajapati Aazad-e-kalam