...

21 views

STREE ✍️
Wo stree hai , wo kuch bhi kar sakti hai ,
Zindagi tumari wo roshan kar sakti hai ,
Khud takleef lekar tumhe muskan wo de sakti hai ,
Ghar sansaar dono ko chala sakti hai ,
Musibat aane par waar bhi kar sakti hai ,
wo stree hai,wo kuch bhi kar sakti hai ,
Naam iska ek par chehre hazaar ,
Maa , beti , behen , patni aur na Jaane kitne kirdaar ,
Panga zara inse sambhal ke lena Yaar dil dimag dono se karti hai Ye waar ,
Wo stree hai, wo kuch bhi kar sakti hai....
@Dhans5205
✍️ Dhanshree Mahale