...

5 views

Ek aakhri khat
ab nahi maangta saath kisise,
kisi apne se koi bandagi nahi maangta hu.
is kadar tuta hua paya khud ko,
ki ab main zindagi se bhi zindagi nahi maangta hu.

ab main shor se bhi koi sannatey nahi maangta.
Palko se neend ke bahane nahi maangta hu.
na hi dushman naye maangta hu koi,
aur koi dost bhi purane nahi maangta hu.

ab mere ishq ka karobaar nahi maangta kisise,
aur Gairo se koi karaar nahi maangta hu.
Mera samandar, dubo raha hai muzko ab,
ye jaankar, ab kisise, koi Sansaar nahi mangta hu.

Ha par ek maangta hu sabse, jo bhi apne aur paraye hai.
Bhula dena wo lamhe sabhi, jo mere saath bitaaye hai.
Kya karoge yaad rakhkar, meri dard bhari zindagi.
jis-se dard but-ta chala gaya mera, kis kaam ki meri bandagi

Bhushan _ Asaf
© Bhushan _ Asaf