...

8 views

prakriti ka unjaam
nadi ka paani behta rahega
samundar se namak nikalta rahega
sirf aik kaam ko chhodkar
baki sabkuch hota rahega


jungle se khusboo aati rahegi
patton pe andey miltey rahenge
sirf aik kaam chhodkar
baki sabkuchh hota rahega

duniya ka kaam hai aage badhna
insan ka kaam hai use rokna
prakriti se her pal ho rahi ched
tabhi ho gaya ozone parat mai chhed


insaan chahe kuch bhi karle
jab tak lega prakriti se pange
hote rahenge dange
her cheej tabhi to jokhim me hai


mahan tum kitney hi banlo per prakriti se ooper pahunch na paaoge
tum aur kitne apne aap per julm dhaooge
sambhal jaao abhi prakriti shaant hai




jis din aag ugle gi dharti sambhal na paaoge tum
marne ke alava kuch ker na paoogey tum
ager nahi chahtey ho merna
to prakriti ke gusse se padega darna